ZINC Ka Use Karke Kaise Swimming Ki Speed Increase Ki Ja Skti Hai

Swimmers Ko Sahi Matra Me Kafi Trah Ke Vitamin Or Minerals Ki Jarurat Hoti Hai Taki We Jaldi Recover Ho Ske Or Unki Performance Bhi Improve Ho Jaye, Vitamin B12 Or Iron Swimming Competition Ke Bad Lene Se Kafi Tezi Se Body Recover Hoti Hai. Micronutrients Me Se Zinc Ka Bhi Apna Ek Khas Role Hai Jo Swimmers Ki Performance Ke Sath Sath Recovery Ke Liye Khas Madad Krta Hai Or Zinc Ke Lene Se Swimmers Ko Hard Training Lene Me Bhi Kafi Madad Milti Hai Taki Time Me Bhi Improvement Ho Ske.

To Kaise Zinc Ko Apne Diet Plan Me Include Kiya Jaye Or Kaise Iska Sahi Istemal Krke Performance Me Improvement Laya Ja Skta Hai ? Aise Bahut Se Questions Hai Jo Aksar Swimmers Ya Unke Parents Puchte Rhte Hai, Aaj Usi K Bare Me Is Article Me Likha Gya Hai.

To Chaliye Dekhte Hai Ki Kaise Swimmer Ko Sahi Amount Me Zinc Mil Skta Hai Or Iske Bare Me Bhi Jane Ki Zinc Ke Level Kam Hone Se Kya Kya Asar Ho Skta Hai.

Zinc Ka Use Kya Hai ?

24 Micronutrients Jo Ek Shrir Ko Chahiye Hoti Hai Zinc Usme Se Hi Ek Khas Micronutrients Hai, Zinc Human Body K Har Tissue Me Hota Hai Or Human Body Ke Function Me Kafi Aham Role Zinc Ka Hota Hai. Zinc Ek Powerful Antioxidant Bhi Hota Hai.

Body Ke Growth Me, Recovery Me, Or Muscle Ke Repairing Me  Zinc Ka Kafi Important Role Hota Hai. Zinc Ka Level Agar Kam Ho Jaye To Ye Kafi Negative Impact Body Par Dikahta Hai Or Fir Body Growth Me, Recovery Me, Or Muscle Ke Repairing Kafi Dikkate Aa Skti Hai.

Fish, Meat, Eggs Or Legumes Me Zinc Kafi Adhik Matra Me Paya Jata Hai Isliye Apne Diet Plan Me Ye Sab Chize Include Krna Rhi Rhega. Or Zinc Body Me Store Hoke Nahi Rhti Hai Isliye National Institutes Of Health (Nih) Ne Recommend Kiya Hai Ke Zinc Ko Daily Lena Chahiye.

Swimmers Ko Kyu Zinc Ki Jyada Jrurat Hoti Hai ?

Kafi Research Se Pta Chla Hai Ki Zinc Deficiencies Jyadatar  Endurance Athletes Me Dekhi Jati Hai, Jo Kisi Khel Me 1 Hr Se Jyada Participate Krte Hai. Or Jyadatr Ye Deficiency Swimmers Me Dekhi Jati Hai. Or Zinc Ka Level Kam Ho Jane Se Muscle Strength Kam Ho Jati Hai Or Recovery Time Bhi Badh Jata Hai Or Ye Dono Hi Swimmers Ke Performance Par Affect Dalte Hai.

Isliye Swimmers Or Endurance Athletes Ke Liye Zinc Ki Ek Alag Hi Importance Hai.

Kitni Matra Me Zinc Lena Chahiye?

The Recommended Dietary Allowances (Rda) Ne Btaya Hai Ki Jinki Age 19yrs Hai Unko Zinc 11 Milligrams Per Day(Men), Aur 8 Milligrams Per Day (Women) Lena Chahiye. Swimmers Aur Endurance Athlete Ko Jyada Zinc Apne Diet Plan Me Lena Chahiye.

Swimming Article In Hindi:-

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »