17 saal ke Rishabh Das, jo Father Agnel Junior College ke student hain, ne Junior Nationals (Bhubaneswar, Odisha) mein 50m backstroke ka national record tod diya, jo pehle Olympian Srihari Nataraj ne Paris Olympics 2024 mein banaya tha. Apne record-breaking performance ke saath Rishabh ne 4 individual gold medals bhi jeete – 50m, 100m, aur 200m backstroke ke saath 100m freestyle mein. Aur agar ye kafi nahi tha, to unhone 50m freestyle mein ek silver medal bhi apne naam kiya. Halanki, baaki events mein woh national records thoda miss kar gaye.
Maharashtra relay team ka hissa bankar, Rishabh ne 4x100m freestyle relay mein silver aur 4x100m medley relay mein bronze jeeta. Apne shandar performances ki wajah se unhe Best Swimmer Trophy se sammanit kiya gaya.
Rishabh ke coach Gokul Kamath ne kaha, “Ye unki ab tak ki best performance thi national competition mein. Is saal ke shuruaat mein unhone Asian Age Group Swimming Championship mein India ko represent karke 2 medals jeete. Ab unmein international level par shine karne ki poori potential hai.”
Father Agnel, jo Maharashtra ka eklauta Khelo India Accredited Academy venue hai, ne iss baar Nationals ke liye 10 swimmers bheje.
Pratishtha Dangi ka bhi zabardast performance raha. Unhone 100m backstroke, 100m butterfly, aur 200m backstroke mein teen gold medals jeete aur 50m backstroke mein bronze. Maharashtra ki medley relay team ke saath unhone silver medal bhi jeeta. Pratishtha ko Girls’ Under-17 Best Swimmer Trophy se nawaza gaya.
Aditi Hegde ne 1500m freestyle mein gold medal, aur 800m, 400m, 200m aur 50m freestyle events mein 4 silver medals apne naam kiye. 4x100m medley relay mein unhone ek aur gold, aur 4x100m freestyle aur 4x200m freestyle relay events mein 2 silver medals bhi jeete.
Shlok Khopade ne Maharashtra ki medley relay team ke saath ek silver medal jeeta, aur Atharva Patil ne medley events ke finals tak pahuchkar freestyle aur medley relays mein do bronze medals jeete.
Yeh competition Maharashtra ke swimmers ke liye ek kaafi successful aur proud moment raha!
Rayan Sayyed ne Team Maharashtra ke liye relays mein do bronze medals jeete. Dakshajaa Dey Upreti, jo DPS School se hain, ne 1500m freestyle aur 800m freestyle mein ek individual silver aur ek bronze medal jeeta. Iske alawa, unhone 4x100m freestyle relay aur 4x200m freestyle relay mein do silver medals bhi secure kiye. Kul milaakar, Agnel ke players ne nationals mein shandar 29 medals jeete.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi