Weight Kam Karne Ke Liye Swimming Join Kre

Hello Friends Mai Pranjal Pal Ek Baar Fir Apke Liye Ek Khas Article Lekar Aya hu. Jaisa Ki  Is Jemane Me Hum Sabko Slim Aur Badhiya Dikhna Pasand Hai Aur Isi Liye Hum Sab Log Gym Me Jakar Kafi Kharcha Kerte Hai Lekin Ye Bilkul Galat Hai. Iska Sabse Shi Tarika Ye Hai Ki Ap Swimming Join Kr Le, Apne Notice Kiya Hoga Ki Jo Log Swimming Kerte Hai Wo Na Hi Jyada Mote Hote Hai Aur Na He Jyada Patle Hote Hai, Isi Liye Sbse Pehle Ap Apne Najdiki Swimming Pool Ko Join Keriye Lekin Sirf Swimming Pool Join Kerne Se Ap Slim Nhi Ho Jayenge, Ap Jab Pool Me Ja Rhe Ho To Apko Sbse Pehle Ye Dhyan Rakhna Hai Ki Ap Sbse Pehle Pool Ke Water Me Na Utre Balki Normal Water Me Shower Le Le Directly Pool Ke Water Me Uterne Se Apki Skin Ko Kuch Problems Ho Sekti Hai, Phir Pool Me Utrne Ke Baad Thora Warm Up Kre Aur Most Important Ye Hai Ki Ap Water Ko Feel  Bhi Kre Aur Ap Humesha Ye Yaad Rakhiye Ki Ap Pool Me Jb Bhi Jay To Ap Swimming Costume Swimming Cap Aur Goggles Bhi Pehne Rhe Taki Pani Me Ap Comfortable Feel Kre Agar Ap Fresh Swimmer Hai To Ye Baat Humesha Yaad Rakhiye Ki Ap Pool Ke Deep Water Side Me Na Utre Ye Is Liye Ki Ap Kahi Doob Na Jay Dhyan Rakhe Ki Ap Pool Me Jha Ghra Kam Ho Wha Swimming Kre Ab Baat Aati Hai Ki Jab Ap Pool Me Utar Jaate Hai Tab Ap Kya Krenge Dekhiye Sbse Pehle Bta Deta Hu Hum Sabhi Log Jab Land Pr Hote Hai To Apni Nose Se He Saans Lete Aur Chodte Hai Pani Mai Apko Apne Muh Se Saans Leni Hai Aur Nose Se Chodni Hai Mai Phir Se Repeat Kr Deta Hu Apko Apne Muh (Mouth) Se Breath Lena Hai Aur Nose Se Chodna Hai Jab Ap Is Parkriya Ko Krenge Tab Pani Me Isse Bubbles Niklenge Isi Liye Hum Isko Bubbling Kehte Hai, Hum Log Sabse Pehle Pool Me Freestyle Swimming Sikhte Hai Apko Bhi Yhi Sikhaya Jayga Apke Coach Ke Jariye. Lekin Apka Coach Ye Nhi Btayga Ki Ap Apna Weight Kaise Lose Kerenge Dekhiye Jab Aap Swimming Sikh Jaynge To Apko Apne Pool Ka Lap Lgana Hai, Sirf Ek Ya Do Round Se Apka Weight Kam Nhi Hone Wala Apka Jitna Stamina Ho Utna He Round Lgaiye Pool Ka Jaise Ap Apne Pool Ka 10 Round Lgate Hai To Har Week Mai Apna Round Badhate Jaiye I Am Sure Apko Ek Month Ke Andar Apko Apni Body Me Effect Milega Note:- Apko Dhyan Rakhna Hai Ki Ap Pool Ka Round Bahut Speed Me Na Lgay Balki Aaram Aaram Se Lgaiye Jisse Ap Jaldi Thake Na Aur Jab Ap Thak Jay To Bubbling Keriye.

I Hope Ki Apko Ye Choti Si Tips Kafi Help Kregi, Jai Hindi

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »