Vizag ke Akkayyapalem me Vishwanath Sports Club ke swimming pool me Monday night ak 7 saal ke ladke V Rishi Sai Kumar ki doobkar maut ho gayi. Ye incident uss time hui jab Rishi aur 2 anya bachchon ko pool me khelne ki permission de di gayi, jabki unke guardians coffee shop ke bahar wait kar rahe the, kyuki entry fees 800 rupaye tha aur club ke staff ne assure kiya tha ki bachchon ka dhyan rakha jayega.
3 bachche kid’s section ke swimming pool me utar gaye aur kuchh minutes baad Rishi Sai Kumar paas ke swimming pool (waves swimming pool) me utar gaya aur kuchh minutes tak tairne ke liye struggle karta raha. Ladke ke behosh hone ke baad hi sports club ke ak staff ne ladke ko dekha aur use bahar nikalne ke liye pool me kood gaya. Halanki use hospital le jaya gaya, lekin doctors ne use dead declare kar diya.
Mritak ladka class 2nd ka student tha aur Vizag ke Madhavadhara locality ka resident tha. Uske parents V Garaga Rao and V Srilakshmi apne iklaute bete ko khone se sadme me hain. Family ne justice and strict action ke liye responsible logon ke against strict action ki demand ki hai.
Incident ki investigation ongoing hai aur police dwara jald hi report submit karne ki expectation hai. Iss incident ne logon ko jhakjhor ke rakh diya hai aur kai log recreational facilities me stricter safety measures ki demand kar rahe hain kyunki aisi kai facilities summer camps held karti hain.
TOI se baat karte huye fourth-town police station ke inspector Satyanarayana ne kaha ki woswimming pool me safety measures examine kar rahe hain.
Vishakha-North ke MLA P Vishnu Kumar Raju ne sports club me safety measures par concern express kiya hai aur kaha hai ki jab tak poori tarah se safety audit nahi ho jata hai, tab tak poore complex ko band rakha jana chahiye. Unhone kaha, “Sports club ke management ke negligence ke karan 7 saal ke ladke ki death ho gayi.” “Main district administration and Visakhapatnam Port Authority ke chairman se request karta hun ki wo sabhi safety measures ko implement karna ensure karein.”
MLA ne club me go-karting and snow-world sahit other attractions ke baare me bhi concern dikhaya hai, unhone kaha ki wo proper safety audits ke bina operated ho sakte hain. Unhone kaha, “Ye attractions visitors ki safety ke liye risk pose karte hain aur ye ensure karna authorities ki responsibility hai ki wo safely operate ho rahe hain.”
Iss incident ne Andhra Pradesh me private recreational facilities par stricter safety regulations ki need ko highlight kiya hai. Future me aisi tragedies ko rokne ke liye state government ko apni policies and enforcement mechanisms ko reassess karne ki jarurat ho sakti hai. Visakhapatnam Port Authority, jisne sports club ko land lease pe diya tha, ko bhi facility me safety ensure karne me apni role ko lekar scrutiny face karna pad sakta hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi