Times Of India Ki Sports News Me Indian Swimmer Virdhawal Khade Ki News Nikli Jisme Khade Ne Btaya Ki Wo Tokyo 2020 Ke Liye Apna 100% Effort Denge. Virdhawal Ko Tokyo 2020 Me Apni Jagah Bnane Ke Liye 22.1 Seconds Ke Mark Ko Chuna Hoga, Ye Timing Unko Apne Hi Best Event Yani 50m Freestyle Me Hasil Krna Hoga.
Virdhwal Times Of India Ke Reporter Ko Btate Hue Ki “Mai Apna Best Kar Rha Hu And Next Olympics Me Qualification Mark Ke Liye Kadi Mehnat Kar Rha Hu. Mera Personal Best 22.43 Seconds Ka Hai Jisko Maine Last Asian Games, Indonesia Me Achieve Kiya Hai. Tokyo Ka Qualifying Time 22.1 Hai Jiske Liye Mujhe Apne Time Ko 0.33sec Or Cut Krna Pdega. Mere Pass 6 Se 7 Competitions Hai Jiske Jariye Mai Apne Dream Ko Hasil Kar Skta Hu”
Virdhawal Ne Abhi Tak Ke India Ke Sabse Fastest Swimmer Hai And Inhone India Ko International Level Par Bhi Kafi Medals Dilaye Hai, Kuch Time Se Virdhawal Apne Office Work Ke Karan Practice Se Dur The Lekin Khade Ne Dubara Apna Sara Focus Apni Swimming Par Laga Diya Hai And Ab Unka Target Tokyo 2020 Hai.
Phli Qualifying Meet 20 Se 24 March Ko Singapore Me Hone Jar Hi Hai Jaha Virdhawal Tokyo 2020 Ke Qualifying Mark Ko Hasil Krne Ke Liye Utrenge.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi
Join Us:-
· Facebook► SwimSwam Hindi