Indian Swimmer Sajan Prakash Ne Uzbekistan Open Swimming Championship 2021 Ke Day 1 Par 200m Butterfly 1st Place Hasil Karke Shandaar Shuruwat Ki.
Sajan Prakash Ne Apni Race 1:57.85 Me Complete Kari Lekin Olympic A Qualifying Time Ko Hasil Krne Se Sajan 1.32sec Piche Rah Gye. Olympic Qualifying Time (A Standard) 1:56.48 Ka Hai. Halaki Sajan Prakash Ne Phle Hi Olympic B Time Ko Hasil Kar Liya Hai Lekin Aane Wali Upcoming Meets Me Sajan A Qualification Ko Target Kar Rhe Hai.
“Race Kafi Acchi Rhi, Maine Apni Lativian Meet Ki Performance Se Aaj Ki Performance Me Improvement Dekhi” – Sajan Prakash Ne Olympic Channel Ko Phone Par Btaya.
“Mai Abhi Apni Shoulder Ki Injury Se Wapas Recover Hua Hu, Isliye Mai Abhi Khud Ko Jyada Push Nahi Karna Chahta, Mai Gradually Improvement Par Dhyana De Rha Hu And Olympic Ke Aane Tak Mera Time Improve Ho Jayega, Mai Apni Peak Par Rahunga.”
India Me Senior National Ke Hone Tak Indian Swimmers Europe Me Kuch Meets Me Hissa Le Chuke Honge.
Sajan Prakash Ke Alawa, Kenisha Gupta Ne 100m Freestyle Me Jeet Hasil Ki And 57.42 Ka Time Diya Wahi Olympian Shivani Kataria Same Event Me 59.6sec Ke Sath 3rd Place Par Rhi.
100m Freestyle Men Me AS Anand 51.95 Time Ke Sath Bronze Medal Apne Name Kiya.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.