Texas Ne Allow Kar Diya Public Pools Ko Reopen Karne Ke Liye

Texas Un States Ki Category Mei Aa Gaya Hai Jisne Pools Ko Reopen Karne Ke Liye Allow Kar Diya Hai. Texas Governor Greg Abbott Ne Local Municipalities Ko Kaha Hai Ki Wo Pool Ko 25% Capacity Ke Saath Reopen Kar Sakte Hai.

Executive Order Ke According, “Local Public Swimming Pools Tab Hi Operate Kiye Jaa Sakenge Jab Unhe Local Government Se Permit Mil Jayegi.” State Ki Kai Biggest Cities Decision Lene Se Pahle Wait Kar Rahi Hai.

San Antonio Aur Austin Jo Ki Texas Ki 2nd Aur 4th Largest Cities Hai Jinki Combined Population Over 2.5 Million Hai Unhone Kaha Hai Ki Wo Abhi Iske Liye Ready Nahi Hai. Austin Ke Mayor Steve Adler Ne Kaha Hai Ki Wo Next 3-4 Weeks Ke Liye Is Situation Ko Observe Karenge Aur Phir Uske Baad Mili Hui Information Ke According Act Karenge. Unhone City Ke Stay-At-Home Order Ko May 30th Tak Badha Diya Hai Wahi Country Ne Is Order Ko June 15th Tak Extend Kar Diya Hai.

San Antonio Ne Bhi Abhi Close Rahne Ka Hi Decision Liya Hai Halaki City Parks Ko Reopen Kar Diya Hai.

Harris County Ke Judge Ne (Jaha Houston Ki Most Of The City Located Hai) Ne Apne Sabhi Pools Ko May 20th Tak Close Rakhne Ka Order Diya Hai.

State Ki 3rd Largest City, Dallas Mei Pools Ke Reopening Ka Original Schedule June 1 Ko Tha, But Dallas Aquatics Website Ne Visitors Ko Warn Kar Diya Hai Ki Opening Delay Bhi Ho Sakti Hai. Suburbs Of Bedford Aur Hurst Ke Aquatic Centers Is Summer Mei Open Hi Nahi Honge.

Private Pools Like Those In Hotels, Subdivisions, And Apartments Open Toh Honge But Sirf 25% Capacity Ke Saath. Florida Ke Pools Ko Bhi Reopen Karne Ke Liye Allowed Kar Diya Gaya Hai.

Latest Indian Swimming News Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jarur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »