Tau Devilal Stadium Ko Milne Wala Hai Second Government Swimming Pool

Gurugram Metropolitan Development Authority (GMDA) ne Tau Devi Lal sports complex mei ek aur facility build karne ke plan ko approve kr diya hai. Iske core planning cell (CPC) ke is week ke pahle hui meeting mei ye decide hua. Indoor, all-weather facility ek year mei complete ho jayegi jab se kaam start ho jayega . Ye kaam around 30 crore se start hoga. Guru gram mei rahne wale swimmers ke liye ye kaam relief hoga. Kai saare swimmers toh waha se 20km dur Delhi travel karke jaate hai practice karne ke liye.

“Tau Devilal Sports Complex mei swimming pool ka proposal approved ho gaya hai CPC mei. Ise GMDA ke chief executive officer (CEO) ne approve kar diya hai aur ab layout examine karenge ki pool kaha par rahega. Pahle, expression of interest (EOI) prepared kiya jayega, isko follow karte huye tendering hogi. Ye public-private partnership basis pr banega, ek senior GMDA officer ne ko kaha.

Halaki, city mei second public swimming pool kholne ka plan kuch time pahle se hi tha ,bass ye kaise banna chhaiye yhi nhi finalise hua hai abhi tak,officials ne kaha.

“Ye ek bahot bada project hai aur ye city mei rahne wale swimmers ko relief bhi pahochayega, jinhe abhi Talkatora pool mei jaana padta hai practice ke liye, jisse unke upar physical aur financial strain dono aata hai. Aur isse unka time toh waste hota hi hai commuting mei. EK baar sports complex mei swimming pool redy ho gaya toh, Gurugram se aaye huye swimmers yaha practice kar skte hai pura din,” GDMA official ne kaha.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »