Swimming Tanks Hone Wale Hai Repaired – Indian Swim News

Kolhapur District sports complex ke diving and swimming pool ka repair work jaldi hi start hone wala hai. Bengaluru ki ek firm ne ye solution le kar aai hai ki kaise underground water ko tank mei mix hone se roka jaye. Two tanks toh unke consruction ke baad se abhi tak use bhi nhi kiye gaye hai kyu ki unme underground drained water mix ho jaata hai. Kuch experts, yaha tak ki IITs se bhi logo ne ye try kiya hai par abhi tak iska solution nhi nikal paaye hai.

Deputy Director Sanjay Sabnis ne kaha, “Ek Banglore company ne hamare paas approach kiya iske solution ko lekar ki wo underground drain water ko swimming tank mei mix hone se rok sakte hai. Cement aur concrete ke saath kaam karne ki jagah humne unse kaha hai ki stainless steel ki coating ke saath work kare. Aur is par abhi bhi baatein chal rahi hai.”

Iske first phase mei state government ne 18cr pass kiya tha iske work ke liye. Is budget se shooting range, football ground, swimming aur diving tank banaya gaya.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »