Swimming Se Lekar Olympic Tak Ka Safar

Matra 20 Saal Ki Age Me, Max Wilson World’s Biggest Stage Olympics Me Us Virgin Island Ko Represent Karne Ke Liye Taiyar Hain. St. Thomas Ke Chhote Se Island Se Olympic Swimming Ke Global Arena Tak Ka Unka Safar Unke Dedication, Hard Work Aur Unki Family Aur Coach Ke Unwavering Support Ka Result Hai.

Wilson Ne 7 Saal Ki Chhoti Si Umra Me Swimming Start Ki, St. Thomas Swim Association Me Add Huye. Apne Parents And Coach Ke Lagatar Protsahan Ke Saath Wilson Ne Subah Aur Dophar Ke Training Sessions Me Participate Kiya. Wilson Kahte Hain, Ak Samay Tha Jab Wo Ye Bilkul Nhi Karna Chahte The But Unke Parents Aur Coach Ne Unhe Inspire Kiya Aur Ye Possible Kiya.

Wilson Ke Liye Ye Janna Ki Wo  Olympics Me Swimming Karenge Kaafi Unrealistic Tha. Ye Ak Tarah Se Sapne K Sach Hone Jaisa Tha. Olympics Me Jaane Ke Liye Wo Gauranvit Mahsoos Kar Rahe Hain.

Olympic Me Liye Training Koi Chhoti Uplabdhi Nhi Hai. Wilson Ka Typical Din Subah 6 Baje Start Hota Hai Jisme Subah 7-9:30 Baje Tak Practice Session Hota Hai, Uske Baad Subah 10-11 Baje Tak Gym Session Hota Hai. Winters Me Unka Schedule Double Practices And Additional Gym Sessions Ke Saath Teevra Ho Jata Hai.

Wilson Ne Bataya, Ab Har Practice Me Bahot Jada Pressure Hai. Wo Har Cheez Me Maharat Haasil Karne Ki Koshish Kar Rahe Hain Taaki Olympic Me Apna Goal Achieve Kar Sakein.

Olympics Me Liye Wilson Ka Pahla Goal Personal Best Aur Apni Poori Ability Se Virgin Island Ko Represent Karna Hai. Unhone Kaha, Medal Jeeta Really Rough Hoga But Wo Apni Poori Koshish Karenge.

Swimming Ke Alawa, Wilson Marketing Me Maharat Haasil Kar Rahe Hain Aur Graduate Hone Ke Baad Ise Aage Badhane Ki Planning Kar Rahe Hain. Halanki, Swimming Hamesha Unki Life Ka Ak Part Rahega.

Jaise Jaise Wilson Olympic Pool Me Utarne Ki Taiyari Kar Rahe Hain Unki Kahani Duniya Bhar Ke Young Athletes Kr Liye Inspiration Ka Kaam Karti Hai. St Thomas Ke Shant Samundra Taton Se Lekar Olympic K Grand Stage Tak, Wilson Ki Journey , Power Of Preseverance, Deduction And The Support Of A Close Knit Community Ka Praman Hai.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-Swimswamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »