British Swimmer Archie Goodburn Ne Reveal Kiya Hai Ki Unhe Inoperable Brain Tumour Ka Pata Chala Hai.
23 Saal Ki Swimmer Edinburgh Ko Olympics Trials Se Pahle Numbness And Seizures Ki Problem Hone Lagi Thi- Jahan Wo Narrow Margin Qualification Se Chook Gaye The.
But Tests Ke Baad Kiye Gaye Tests Me 3 Bade Oligodendrogliomas Paaye Gaye- Ak Rare Type Ka Cancer Jo Brain And Spinal Cord Ko Affect Kar Sakta Hai.
Tumour Ke Nature Ki Wajah Se Tumour Ko Hatane Ke Liye Surgery Impossible Hai And Ab Goodburn Ko Unka Treatment Karne Ke Liye Chemotherapy And Radiotherapy Face Karna Pad Raha Hai.
Unhone Apne Instagram Pe Likha, “6 Week Pahle Meri Life Me Ak Bada Change Aaya, Jab Mujhe 3 Brain Tumour Ka Pata Chala.”
“December 2023 Me, Meri Training Me Strange Episodes Interruption Start Ho Gayi. Ye Episodes, Jinhe Starting Me Hemiplegic Migraines Maana Jaata Tha, Hard Training Ke Dauran Hota Tha. Inse Meri Strength Me Kami Aati Thi Aur Mere Left Side Me Numb Sensation Feel Hota Tha. Fear, Nausea And Extreme Déjà Vu. Ki Feeling Hoti Thi. Ab Mujhe Pata Chala Ki Ye Seizures The. Mere Pichhe Ki Trials Ke Saath Maine Depth Se Khoj Ki Ki Inn Attacks Ka Sach Me Reason Kya Hai. Finally May Me Ak MRI Me Pata Laga Liya Ki Mujhe Sabse Jada Dar Kis Baat Ka Tha.”
Goodburn Ne Birmingham Me 2022 Me Commonwealth Games Me Scotland Ko Represent Kiya And 2019 World Junior Swimming Championships Me Men’s 50m Breaststroke Me Bronze Medal Jeeta.
Unhone Kaha Ki Ab Wah Tumour Se Ladne Ke Liye Medical Treatment Karwayenge. Unhone Kaha, “ Iss Diagnosis Ki Achhi Baat Ye Hai Ki Oligodendrogliomas Generally Kai Anya Serious Brain Tumour Types Ke Comparison Me Radiotherapy And Chemotherapy Ke Liye Better Respond Karte Hain. Main Young Hun, Fit Hun, Mere Paas Achhe Friends Ke Saath Most Phenomenal Support Network Hai, Best Family Hai Jiski Main Ummeed Kar Sakta Hun Aur Mere Saath Ak Fantastic Girlfriend Hai. Main Iss Challenge Ko Datkar Saamna Karne, Positive Bane Rahne And Archie Bane Rahne Ke Liye Determined Hun.”
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi