Researchers ki ak team ne Tuesday ko kaha ki still water wali kuchh lakes me tairne se Legionella naam ke bacteria se infection ho sakta hai- ye bacteria pneumonia ka karan ban sakta hai. Unhone open water me swimming karne wale logon se iss risk ke baare me aware rahne ko kaha.
Legionnaires’ disease ke roop me jana jaane wala legionella ke infection se severe lung inflammation hoti hai, jisme fever, chills, malaise, chest pain, cough, fatigue, respiratory symptoms aur kabhi-kabhi diarrhoea hote hain.
University of Manitoba me internal medicine resident Dr. Ashley Bryson ne kaha, “Legionella infection natural water bodies and human-made water reservoirs ke touch me aane se exposure ki ability ke karan public health ke liye khatra hai.”
Canadian Medical Association Journal me published ak article me, experts ne bataya ki legionella bacteria plumbing systems, air conditioners, public spas aur yhan tak ki lakes and rivers me warm, stagnant water me panapte hain.
50 saal se jada ki age, smoking history, chronic cardiovascular or kidney disease, diabetes and ak compromised immune system Legionnaires’ disease ke liye main risk factors hain.
Researchers ne advise di ki, “Clinicians ko pneumonia ke patients me legionnaires’ disease consider karni chahiye, jo broad-spectrum antibiotics ke use ke baawjood thik nahi hota hai, especially agar pneumonia serious hai, immunocompromised patients ya recent travel history wale patients me hota hai, ya jab keval antimicrobials ke against bina kisi activity ke typical pathogens di gayi hon.”
Unhone kaha ki legionnaires’ diseases ke liye test tab kiye jaane chahiye jab patient community-acquired pneumonia ke liye outpatient antibiotic treatment ke liye achha perform na kar raha ho; severe pneumonia se suffer kar rahe log, especially intensive care wale mamlon mein.
Weak immune systems wale log, symptoms start hone ke 14 days ke andar travel karne wale log, hospital me admit hone wale log hospital-acquired pneumonia ke saath bhi legionnaires’ disease ke liye test kiya jana chahiye.
Symptoms typically exposure se 2-14 days ke baad dikhai dete hain, lekin hafton tak bane rahe sakte hain.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi