COVID-19 ke chalte agar city state of emergency ke under bhi hogi to bhi Tokyo Olympic Games honge, Friday ko top Olympic official ne kaha, pandemic-hit Games ke organisers ke challenges ko underscore karte huye.
Game ko start hone mei dirf 9 weeks hi hai, International Olympic Committee japan mei ye darr ko kam karna chahti hai ki ye event pandemic ki wajah se already strain mei gaye huye medical system par burden dalega.
Olympics mei boost ke liye, jo ki Covid-19 ki wajah se 1 saal ke liye postponed kiya gaya tha, announce hua hai ki French President Emmanuel Macron, jinki country 2024 Games host karegi, wo plan kar rahe hai Tokyo mei hone wali opening ceremony ko attend karne kaa.
Ye global sporting event public se mounting opposition face kar raha hai, aur Friday ko Reuters company ne ek survey release kiya jisme pata chala ki 70% respondents ne kaha hai ki wo cancellation aur further postponement chaahte hai.
Aisa puchne par ki agar Tokyo mei state of emergency rahegi to bhi kya Olympics hoga, IOC ke Vice President John Coates, jinhone preparations oversees kar rakhi hai unhone kaha: “Absolutely yes.”
Coates, jinhone meeting ke end mei news conference mei bola ki Olympic Village ke 80% se jyada residents July 23 se pahle vaccinated ho jayenge, jab Olympics start hoga tab.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.