Sports Ministry Ne Indian Swimmers Ko Approve Kiya Financial Assistance

Sports Ministry Ne Five Indian Swimmers Ko Final Assistance Extend Kr Diya Hai, Jisme Sajan Prakash Aur Srihari Nataraj Jaise Swimmers Bhi Include Hai. Ye Target Olympic Podium (TOPS) Aur ACTA Schemes Ke Under Kiya Gya Hai Taaki Swimmers Ko Help Ki Jaa Sake Various International Competitions Mei Participate Krne  Ke Liye.

Assistance TOPS Ke Aur Annual Calendar For Training And Competition(ACTC) Ke Under Grant Ki Gyi Hai And Ise Approved Kiya Gya Tha Ministry Mission Olympic Cell Ne.

Wo Swimmers Jinhe Ye Support Extend Kiya Gya Hai Wo Hai:

  1. Sajan Prakash
  2. Srihari Nataraj
  3. Maana Patel
  4. Kenisha Gupta

(Source-TOI)

Jaha Sajan Aur Srihari Currently Part Hai TOPS Core Group Hai, Maana Aur Kenisha TOPS Development Group Mei Hai.

Sajan, Jinhone Compete Kiya The Tokyo Olympics Mei Unhone Cleared Kiya Hai 15.1 Lakh (Jisme Pool Fees Aur Airfare Excluded Hai), Training Ke Expenditure Ke Liye Sath Hi Multiple Competitions Aur Camps Mei Participation Ke Liye.

April Mei Three Mare Nostrum Events Across Monaco, Barcelona Aur Canet  Mei Part Lene Se Phle Wo Compete Krenge Danish Open Me. May Mei Sajan Part Lenge High Altitude Training Camp Mei, Sierra Nevada Training Centre, Spain Mei June & July Ke Beech.

Srihari, Jinhone Tokyo Olympics Mei Compete Kiya Tha, Unhe 22.02 Lakhs Ka Assistance Approved Kiya Gya Hai.

Maana Aur Kenisha Ko Bhi 3.89 Lakhs Rs Sanctioned Kiya Gya Hai, Unke French Open Swimming Championship Mei Participation Ke Liye.

Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »