Satendra Singh 3 June Ko London Ke Liye Honge Rawana

Satendra Singh 3 June Ko Subh 7 Bje Indore Airport Se Mumbai Hote Hue London Ke Liye Rawana Honge Aur 3 June Ko London Ke Huthro Airport Par Sham Ko 6 Bje Tak Pahuch Jayenge, Satendra Singh Ke Sath Open Water Swimming Ke Special Coach Rohan More Bhi Sath Me Jayenge Jinhone Khud English Channel Par Kiya Hai, Aur Escort Ke Roop Me Sandeep Lohiya Bhi Ja Rhe Hai, Satendra Ka Haoshla Bdhane Ke Liye Shri P. Narhari Ji Collector Indore 1 June Pauch Chuke Hai, Satendra 4 June Se 29 June Tak London Me Hi Open Water Swimming Ka Abhyash Karenge Aur English Channel Ko Par Karne Ke Liye 1 July Se 8 July 2017 Tak Ke Samay Me Kisi Bhi Din Par Karne Ke Liye Swimming Karenge, Aur Jis Din Swimming Karne Ka Sahi Mausam Hoga Satendra Us Din English Channel Par Karne Ke Liye Swimming Krenge Aur Ham Aur Swimswam Ki Team Ki Traf Se Satendra Singh Ko Best Wishes Taki Wo Apne Aim Tak Bina Kisi Rukawat Ke Pahuch Kar Apna Aur Apne Desh Ka Name Uncha Kare.

Satendra Ki Abhi Tak Ke achievements

Raat Me 4 Ghante Practice

Game Me State Champion Ship Ki Trophy Pane Wale Styendra Indore Ke Salse Tax Company Me Job Kerte Hai July Se Channel Paar Kern Eke Abhiyaan Ke Liye Ve Tyari Me Jute Hai Iske Liye Ve Raat Me 4-4 Ghante Paretic Kr Rhe Hai

General Category Ka Record Todenge             

Styendra Swimming Krte Wqt Janleva Jiv Jantu Se Bachne Ke Liye Ek Important Lotion Lga Kr Pani Me Utrenge Ve 36 K.M Ka Safar 15 Ghante Se Km Samay Me Pura Kerenge Ve Apna New Record Bnana Cahte Hai

2007 Me Kit Hi Swimming Ki Suruaat

Gwalior Ke Rehne Wale Styandra Ne Swimming Ki Suruaat 2007 Me Weh 6 National Divyang National Champion Ship Me Participate Kr Chuke Hai Isme 6 Rajat Aur 7 Kasya Medial Jeet Chuke Hai Whi Do International Champion Ship Me 2 Rajat Aur 1 Kasya Padak Jeet Chuke Hai Styendra Ko M.P Government Se 2014 Me Commercial Tax Department Me Job Mili Thi Aur Filhaal Ve Indore Me Hai

Bachpan Mai Pair Me Ho Gya Tha Reaction

Vikram Awardi Styendra Btate Hai Ki Unhe Janam Ke Bad Glucose Ki Bottle Chadane Ki Wejeh Se Reaction Ho Gya Tha Jisme Unke Dono Pair Khrab Ho Gye The We Bina Kisi Sehare Ke Chal Nhi Sakte Hai Unke Father Ek Private Bank Me Guard Hai Ghar Me Inke Alawa Inki Maa Aur Teen Bhai Aur Hai Family Me Styendra Sabse Bade Bhai Hai

Kolkata Me Jeeta First Medal

2009 Me Kolkata Me Styandra Ne First Medal Jeeta Tha Uske Baad Se Ab Tk Styendra National Level Pe 19 Medal Aur International Level Pr 4 Medal Jeet Chuke Hai   

Niche Comment Me Aap Satendra singh Ko Best Wishes Jarur De

1
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

1 Comment
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments
Abhay Swimmer
7 years ago

Best of luck Satendra sir

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »