Sajan Prakash Ko Mila Australia Training Scholarship – Indian Swimming News

Olympian Swimmer Sajan Prakash 2024 Paris Olympics Ke Pahle Australia Me Training Karne Wale Hai.

30-Year-Old Ne Ye Scholarship FINA Se Jeeta Hai Aur World Swimming Body Unhe Bond University’s Development Centre Jo Ki Gold Coast Par Hai Waha Unhe Training Ke Liye Bhejne Wali Hai. Wo Waha Ke Head Coach Chris Mooney Ke Under Train Karne Wale Hai Jinka Olympic Medal Winners Produce Karne Ka Good Track Record Hai.

However, Sajan Ka First Goal Hai 2024 Paris Olympics Mein “A Standard Qualification Mark” Ke Sath 200m Butterfly Event Mei Qualify Karne Ka. Previous Olympics Jo Ki Tokyo Mei Hua Tha Usme Sajan First Indian Swimmer Bane The Jinhone A Standard Mark Achieve Kiya Tha.

“Ye Mere Liye Good Opportunity Hogi Bond University Mein Ek Great Coach Ke Under Train Karne Ka Aur World Class Facilities Ko Istemal Karne Ka. Mera First Goal Hai Paris Olympics Mein A Standard Qualification Mark Attain Karna Jo Ki Around 1.56.30s Ka Hai. Ye Competition Aur Bhi Tough Bann Gaya Hai Aur Mujhe Vishwas Hai Ki Ye Training Meri Help Karega Ise Achieve Karne Mein,” Sajan Ne Kaha.

Ye Saal Sajan Ke Liye Up-And-Down Raha Hai, Jinhone Hangzhou Mei Huye Asian Games Ke 200m Butterfly Event Mei Sixth Par Finish Kiya Tha. Halaki Wo Khush Toh The Ki Unhone Asian Games Ke Final Mein Jagah Bnayi But Wo Apni Timing Se Satisfied Nhi The.

Sajan Ne Goa Mei Huye National Games Mei Part Liya Tha Taaki Wo Competitive Trim Mei Bane Rahe Aur Unhone 100m, 200m and 200m IM Me Na Sirf Gold Medal Jeeta Balki 3 New Records Bhi Bnaya..

Men, 100m Butterfly 53.79  Sajan Prakash
Men, 200m Butterfly 1:59.38 Sajan Prakash
Men, 200m Medley 2:04.57 Sajan Prakash

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »