Ace swimmer Sajan Prakash, first Indian bane the jinhone Olympics ke liye directly qualify kiya tha, unhone apne career mei ek aur distinction achieve kar li hai.
26-year-old Sajan akele aise Indian swimmer hai jinhe International Swimming League (ISL) 2021 Season ke liye select kiya gaya hai.
Halaki, Sajan jo ki pichle ek week se ayurvedic treatment kara rahe hai Thrissur mei, apni team Energy Standard ko turant nhi join kar sake. Par
wo confident hai ki November mei hone wale playoffs tak toh fit ho kar join kar hi lenge.
“Ye mere liye aur Indian swimming ke liye great recognition hai. Hume aise leagues mei part lete rahna chaiye. Aasha hai ki aap sab jaldi hi is event mei aur bhi Indian swimmers ko dekhenge.
“ISL puri tarah short sprints hai aur unhe pata hai ki mai isme accha hun isliye unhone mujhe Energy Standard mei pick kiya. Is team ne 2019 mei ISL jeeta tha. Mai 30 member team ka part hun. Hopefully, mai playoffs mei shayad swim bhi karu,” unhone kaha.
Sajan ne kaha hai ki Ayurvedic treatment ke baad unka shoulder bhi shi hai.