Para-athletes Ki Madad Ke Liye Aayi CSR

Apne pita ke nakshe-kadam par chalet huye National level ke swimmer- Suyash Jadhav ne swimming start kari aur International level par compete karte huye unhone apne Pita ji ke sapne ko pura karne ka decision liya. Baat us samay ki hai jab Suyash 6th class mein padhai karte the, aur ek tragedy ho gai thi jisse unhe bahot hi badi keemat chukani padi. Hua kuch aisa ki har roz ki tarah us din bhi Suyash apne dosto ke saath khel rahe the construction site par aur waha par unprotected wiring dwara unfortunately bijli gir gai aur usse Suyash ko upper limbs mein serious injuries ka saamna karna pada. Aur is accident ki wajah se Suyash ke dono haatho ko katna pada aur is kaaran unhe 6 mahine hospital mein bitane pade.

Halaki, is ghatna ke bawjood bhi unhone apne Dreams par giveup nahi kiya. Unhone domestic level par hone wale differently-abled logo ke competitions mein compete kar ke apna best performances dene lage. Jyada time na lete huye, Unhone India ke liye International level par compete karna aur medal laana start kar diya. Rio ke 2016 Paralympics mein ‘A’ qualifying mark achieve karne wale 1st Indian Para swimmer bane Suyash aur aisa kar ke unhone waha ke stage par apni chhaap chhodi. Unhone 3 mein se 2 event mein apna personal best record set kiya. 2017 mein Suyash ne IDM Berlin World Para Swimming World Series mein Silver medal jeeta. 2017 mein unhone IPC World Para Swimming Championship jo ki Mexico mein hui thi uska representation bhi kiya.

24 year old Suyash ne Asian Para Games mein History create kar di jab voh kisi bhi major International Event mein lagataar 3 medal jeetne wale 1st Indian bane. Unhone 50m butterfly event mein Gold medal, 200m individual medley event mein Bronze medal, aur 50m freestyle event mein bhi bronze medal jeete S-7 category mein. Recently hi unko Sportstar magazine ki taraf se “Para-athlete of the Year” ka prize diya. Suyash bhi un 32 differently-abled Indian athletes mein se ek hai jinhe Indusind Para Champions Programme dwara support kiya jaata hai.

Yah programme Indusind Bank ki ek pariniti hai, jo in para-athletes ke life mein kuch badlaav lane ke liye Go Sports Foundation ke saath partenership kar rahe hai. Inka aim hai ki ye in para-athletes ko lagne wali sabhi necessary chezo ki jarurat ko pura kar sake. Aur saath hi saath inki inspiring stories ko dusre logo ke saath share kar ke ye chhahte hai ki aise aur bhi log jinhe inki jarurat ho wo inke saath join ho sake.

(The CSR Journal)

Other News:

Glenmark 73nd Senior National Aquatic Championships 2019   

News, Tips And Workout Ke Liye Aap Swimswam Hindi Ko Visit Karte Rahe And Facebook Par Bhi Swimswam Hindi Ko Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »