Teen saal pahle Tokyo Olympics me, American women apne final chance, 400 medley relay jeetne ke liye prayasrat thi, lekin Cate Campbell ne American anchor Abbey Weitzeil to pichhe chhodkar 13th hundredths hissa aage nikalkar gold medal jeeta. Halanki, 2024 me yah fix Kiya gaya ki jab tak freestyler paani me enter karenge, tab tak koi bhi United States ke striking distance ke andar nahi hona chahiye.
Aisa isliye hai kyunki America pahle 3 steps me 100 backstroke, 100 backstroke and 100 butterfly me world record holders ko utarne ke liye taiyar hai. American men ko do decades pahle Aaron Peirsol, Brendan Hansen and Ian Crocker me saath ak hi badhat mili thi, and sure enough koi bhi uss group ko touch nahi kar saka tha. Ab Regan Smith, Lilly King and Gretchen Walsh apni team ko Paris Games ki last women’s race me isi tarah ki insurmountable lead dila sakte hain.
US Olympic Trials me Smith ne 100m back me 57.13 ka time swim kar Australia ki Kaylee McKeown ke last world record ko kam kiya. King ko ab 27 saal ki hain, ko 100m breast me world record ke liye 1:04.13 ka time nikale huye 7 saal ho chuke hain lekin wo iss event me world ki top players me se ak hain, American Trial me unka 1:05.43 ka time current me world me 4th place par hai.
On fly, American likely Walsh ko use karenge, jinhone Indianapolis me 55.18 ka time lekar Sarah Sjostrom ka 8 saal purana 55.48 ka world record break kiya tha. But agar Walsh apne 1st Olympics me ladkhada jaati hain toh 2022 ki world champion Torri Huske me ak adhik se adhik second option hai, jinhone 55.52 ke time ke saath trials me apne last American record ko cross Kiya, iss event me 3rd number pe pahoch gayi. Finally, Kate Douglass iss team ke liye sambhavit anchor hain, jinhone trials me 100 free jeetne ke liye 52.56 ka time liya tha. Douglass ne 2023 me relay spilt par 51.79 ke roop me fast swim kiya.
2024 me ab tak haasil kiye gaye time ko dhyan me rakhte huye US composite relay ka time 3:50.30 hain, jo 2019 me Smith, King, Kelsi Dahia and Simone Manuel dwara sthapit 3:50.40 ke maujooda world record se kam hai. Relay Exchanges ko jodein and Americans ke liye 1st time 3:50 se kam time karne ki possibility maujood hai.
Traditionally Russia, US ke liye sabse bada challenge Australia rahi hai, ak team jisme McKeown and Mollie O’ Callaghan jaise behad strong bookend hain. McKeown iss saal 57.41 ki tej rahi hai, Australian trials me apne existing world record 57.33 se bas chook gayi, iss beech O’ Callaghan 100m freestyle me 2 baar ke world champion hain aur iss event me Olympic gold jeetne ke prabal daawedaar hain.
30 saal ki Emma McKeown abhi bhi ak reliable relay swimmer hai and Australia ke liye ak strong butterfly leg hai, lekin breaststroke iss team ke liye badi chinta ka vishay hai. Tokyo me, Australia ke gold jeetne ka main reason Chelsea Hodges ka breaststroke leg par apne individual best time me ak second tej swimming thi. Paris me Australia ke breaststroke options Jenna Strauch and Ella Ramsay hain, dono ne trial me 1:06.9 ka time liya. Jab tak unme se koi Olympic me huge jump nahi lagata, tab tak iss Kami ko door karna mushkil hai.
Iske opposite, China breaststroke leg ki wajah se Aussie team ko pichhe chhodkar Silver medal ki move me aa sakta hai. Tang Qianting iss saal ki starting me 1:04.39 ka time lene ke baad current me 100 breast me Olympic gold jeetne ki favourite hain and China ne current world champion Jhang Yufei ko butterfly tairne ke liye taiyar kiya gaya hai. Yang Junxuan me iss saal ke starting me 52.68 ka 100 freestyle national record banaya tha. Lekin China ko backstroke me huge gap ko cover karna pad sakta hai. Wan Letian iss saal 59.02 ke saath country ka best option hai, jo Smith and McKeown se almost 2 second pichhe hain.
Canada final medal contender hai jisme Kylie Masse iss saal ki shuruaat me apne desh ke trials me 100 backstroke me 57-club me laut anchor leg par sub-53 spilt Jahan experienced Penny McIntosh Oleksiak and teenage star Summer Mcintosh top option hai, Canada ko favourites me se ak se medal chheenne ki anumati de sakta hai.
Yahan keval 2024 time ke base par top composite relays hain:
United States: 57.13 + 1:05.43 + 55.18 + 52.56= 3:50.30
China: 59.02 + 1:04.39 + 56.36 + 52.68 = 3:52.45
Australia: 57.41 + 1:06.90 + 56.58 + 52.33= 3:53.22
Canada: 57.94 + 1:06.66 + 56.54 + 53.66 = 3:54.80
Olympic me 9th day tak, expected hai ki inme se har ak relay me we Swimmer shaamil honge jinhone apne-apne 100m event me individual medal jeete hain. Lekin agar Americans Trials ke apne time ke kareeb swim karte hain toh unhe harana nearly impossible hoga and world record banana unke liye bahot easy hoga.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi