Bangladesh Swimming Federation (BSF) dwara aayojit aur Max Group dwara sponsored National Swimming, Diving and Water Polo Competition 2024 ke 33rd edition me Saturday ko Mirpur ke Syed Nazrul Islam National Swimming Complex me first day 4 new records bane.
Navy Swimmer Samiul Islam Rafi ne men’s 50m backstroke me 26.90 second ka apna last record (2023) break karte huye 26.79 second ka new record set kiya.
Navy Swimmer ki ak aur swimmer Juthi Akter ne bhi women’s ki 50m backstroke me 32.75 second ka apna 2 saal purana record break karte huye 32.74 second ka new record banaya. Navy ki swimmer Kajal Mia ne bhi last year ka 2:10.25 minutes ka record break kiya aur men’s 200m butterfly me 2:9.41 minutes ka new national record banaya.
Army swimmer Romana Akter ne women’s 100m breaststroke me 1:18.27 minutes ka new national record banaya, unhone Navy Swimmer Mariam ke 1:19.00 minutes ke record ko break kiya, jo 2021 me banaya gaya tha. Iss beech, Sudan me UN mission me appoint Romana last year September me one and half year baad apne desh wapas lauti. Yahan tak ki, wo 4 saal baad chal rahi competitive event me bhi lauti.
First day men’s and women dono categories me 2 team events ke saath total 10 events aayojit ki gayi.
Navy ne 7 gold, 6 silver aur 3 bronze ke saath leaderboard me top place haasil kiya, jabki Army 3 gold, 4 silver aur 5 bronze ke saath 2nd place par rahi. BKSP keval 2 bronze ke saath 3rd place par rahi.
Different services, divisional sports associations, clubs, BKSP sahit 52 teams ke total 550 men and women swimmers four day meet ke 38 disciplines me compete karenge, jo 12 November ko khatm hoga.
Competition me male swimmers ke liye 4 other disciplines bhi feature ki jayengi, jinme 3 diving events aur ak water polo event shaamil hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi