Pooja Banerjee aurunke Olympian husband Sandeep Sejwal show keliye ready –
Nach Baliye – season 9, 4 wild card entries ko show mein dekhne ke liye puri tarah se ready hai, jo show mein entertainment lane wali hai. T.V show ki actress Pooja Banerjee aur unke Olympian husband Sandeep Sejwal ne is show mein entry ke liye apni permission de di hai. Infact, latest baato ko mane toh sunne meina ata hai ki Pooja aur Sandeep ne pahle se hi is show mein aane ke liye preparation karna start kar di hai.
Is couple ne show mein apni presence batane mein koi kasar nahi chhodi hai aur apne choreographers ke sath training kar rahe hai.
Pooja ki shaadi ek Swimmer aur Asian games ke medal winner Sandeep Sejwal se hui hai. Dono ne 28 Feburary,2017 ko shaadi ki.
Sandeep Sejwal Ka Birth 23 January 1989 Ko Delhi Mai Hua Tha. Sandeep St. Stephen’s College, Delhi Ke Graduate Student Hai. Ye Ek Indian Swimmer Hai Inhone Beijing 2008 Olympics Me India Ko Represent Kiya Tha, Sandeep Ne Asian Game Me India Ke Liye Medal Bhi Jeeta Hai.
Sandeep Sejwal 50meter ,100 Meter Aur 200 Meter Breaststroke Ke Events Mai Senior National Champion Aur National Record Holder Hai, Inhone Asian Indoor Games 2007 Mai 50 Meter Aur 100 Meter Breast Stroke Event Mai Silver Medal Apne Naam Kiya. Sandeep Sejwal Ki Swimming Ke Alawa Aur Bhi Hobbies Hai Jaise Badminton, Basketball Aur Cricket.
Inhone 28 February 2017 Ko Pooja Banerjee(Actress) Ke Sath Shadi Ki, Pooja Banerjee Bhi National Swimmer Rah Chuki Hai. Sandeep Ki Sister Pallavi Sejwal Bhi National Medalist Hai. Sandeep Ko 2012 Mai Arjun Award Bhi Mila Aur 2016 Ke 59th Malaysia Open Swimming Championship Mai Inhone 3 Gold Apne Naam Kiya. 14th Fina World Championship 2012 Mai 100 Meter Breaststroke Event Mai 1:02:92 Seconds Ke Sath Sandeep Ne London Olympics Ke Liye Jegah Banai.
Sandeep Sejwal Phle Aise Swimmer Hai Jinhone Breaststroke Event Se Olympics Ke Liye Qualify Kiya Hai. Sandeep Sejwal India Ke Famous Coach Nihar Ameen Se Apni Swimming Training Lete Hai. Swimmer Hone Ke Alawa Sandeep Sejwal Indian Railways Me 2010 Se Chief Office Superintendent Hai.
News, Tips And Workout Ke Liye Aap SwimSwam Hindi Ko Visit Karte Rahe And Facebook Par Bhi SwimSwam Hindi Ko Like Kar Le.