Mentally Strong Hona Bhi Hai Jruri

Mental Toughness Ek Important Reason Hai  To Kisi Bhi Kaam Ko Quit Ko Na Kerne Ke Liye Motivate Kerta Hai Aur Ye Apko Shi Disha Me Badhte Rehne Ke Liye Kafi Help Kerta Hai Apko Bahri Duniya Ki Bahut Si Chijo Se Door Rakhkar Apko Focus Kerne Me Help Kerta Hai Yhi Vo Khaas Chij Hoti Hai Jo Swimmers Ko Kisi Bhi Hard Set Ke Last Tak Unki Energy Ko Banay Rakhti Hai Kyuki Agar Swimmer Ke Man Me Ye Rehega Ki Use Is Set Ko Achhe Se Pura Kerna Hai To Weh Vo Set Badi Aasani Se Kar Le Jayga Isliye Hum Sabhi Ko Apne Swimmers Ko Mental Se Bhi Powerful Bnana Cahiye Weekends Me Ek Din Unkko Ek Class Motivational Ki Deni Cahiye Jo Unko Apne Target Pr Focus Kerne Me Help Keregi Aur Kafi Achhe Results Degi    

Har Koi Is Terah Ki Mental Toughness Haasil Bhi Nhi Kr Sekta Iske Liye Kafi Practice Kerna Padta Hai Aur Jitne Bhi Aaj Tk Mehan Swimmer Hue Hai Vo Sab Swimming Ke Sath Apne Mind Ko Bhi Us Level Dete Hai Jisse Vo Kabhi Demotivate Na Ho Jo Log Ko Ise Achieve Kr Lenge Vo Soch Bhi Nhi Sekte Ki Vo Apne Swimming Ko Kis Level Tk Le Ja Sekte Hai  

Niche Kuch Tarike Diye Gye Hai Jo Mental Toughness Ko Badhane Me Apko Ya Apke Swimmer Ko Kafi Help Kerenge

  • Negative Thinking Ko Duur Rakhna
  • Always Be A Competitor
  • Race Par Focus

Kisi Chij Ko Start Kerna Sbse Hard Hota Hai:- Aur Spicily Tab Jb Baat Mental Toughness Ki Ho Tab To Ye Aur Bhi Hard Ho Jata Hai Apne Dekha Hoga Jo Log Mentally Roop Se Powerful Hote Hai Unhe Bahut Km Motivate Kerna Padta Hai Aisa Isliye Kyuki Vo Pehle Se He Motivate Rehte Hai Niche Mai Apko Kuch Khas Tips Dene Ja Rha  Hu Jo Apko Ek Achhi Si Startup Kerne Me Aur Mental Toughness Swimmer Banne Ke Liye Kafi Help Keregi

Apne Mind Ki Negative Thoughts Ko Sunna Band Kerna Hoga Shi Mayne Me Agar Hum Swimmers Ko  Janne Lge To Hum Dekhenge Ki Kafi Swimmer Ek Time Tk Kafi Achhi Practice Kerta Hai Aur Competition Ke Pehle Kafi Achhe Times Kerta Hai Lekin Race Wale Din Ekdm Se Performance Down Pad Jati Hai Aisa Is Liye Hota Hai Kyuki Vo Khud Se Jyada Baki Swimmers Ke Bare Me Sochne Lagta Hai Aur Khud  Ko Demotivate  Kr Deta Hai Aur Ek Baar Swimmer Ke Dimag Ne Hope Chori To Uski Sari Practice Whi Khatam Ho Jati Hai Aur Aisa Maine Kafi Swimmers Ke Sath Hote Hue Dekha Hai Isliye Zaroori Hai Ki Ap Apne Swimmer Ko In Sab Chijo Se Door Rakhe Y Agar Ap Khud Swimmer Hai To Khud Ko In Sab Chijo Se Door Rakhe   

Kisi Set Ko Kerne Se Pehle Ya Kisi Bhi Race Ke Pehle Khud Ko Ek Positive Phrase Ke Sath Motivate Kerna Kafi Achha Hota Hai Aur Yhi Choti Choti Chije Apko Achha Result Dete Hai To Ap Dheere Dheere Is Chij Ko Apne Life Me Jodkar Iska Benefit Utha Sakte Hai

Kuch Khas Positive Phrase Mai Apko Bta Rha Hu:

  • Focus..
  • I Am Ready For The Race..
  • I’ll Give My Best..
  • I Can Do It ..

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »