2024 WORLD AQUATICS SWIMMING WORLD CUP – SINGAPORE
- Thursday, October 31st – Saturday, November 2nd
- OCBC Aquatic Centre, Singapore
- Prelims at 9:30am local (9:30pm ET previous night)/Finals at 6:30pm local (6:30am ET)
- SCM (25m)
- Meet Central
- Competition Schedule
- Entries Book
Late Douglas aur Leon Marchand ko Thursday 31st October ko World Aquatics Swimming World Cup 2024 Singapore me “Pool ke king aur queen” ka crown pahnaya gaya.
Short course (25m) swimming series ka 3rd and final stop Singapore me start hua, Jahan teeno world cup events me distance me jeet ka ‘triple crown’ complete karne wale swimmers ko jeet par crown se sammanit kiya gaya.
Ye Douglas ke liye fit tha, jinhone ak week pahle hi Republic of Korea ke Incheon me khud ke dwara banaya gaya World Record break kiya.
Douglas ne women’s 200m breaststroke me 2:12.72 ke time ke saath gold medal jeeta, 2:14.16 ke apne hi world record ko break kiya aur 15 saalon me sabse tej time set kiya.
“Mujhe lagta hai ki last weekend unexpected world record ke baad, main iss tarah se isme aai, mujhe lagta hai ki iss event me mere paas bahot Jada potential hai, main aaj raat ak mission ke saath aai thi”, Douglas ne race ke baad kaha.
Douglas ne World Cup me women’s individual ranking me 20 points ki lead bana li hai, saath hi unhone Asian City State me women’s 100m medley bhi Jeet li hai.
Marchand Ki Ak Jeet Aur World Cup Record:
Incheon me previous round me three gold medals jeetne ke baad, Marchand ne apne hi career ka seventh world cup record jeeta- aur iss month ka bhi.
Frenchman ne desh ke Florent Manadou ki cap pahenkar men’s 100m medley me enter kiya, jinhone announce kiya ki wo swimming se break lenge.
Olympic men’s 100m backstroke champion Thomas Ceccon ke pre-race introduction me skeleton mask me ubharne ke baawjood, Marchand ke liye Halloween ka koi dar nahi tha kyunki unhone Italian se lagbhag do second aage rahkar comfortable win haasil ki.
49.92 second ke apne time ne unhe Caeleb Dressel ke baad iss distance par ab tak ka second fastest bana diya. World Cup record break kar four times Olympic gold medalist ne ye bhi ensure kiya ki wah distance ke liye coveted golden crown jeetein.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi