Kolhapur Ke Para-Swimmer Swapnil Patil Ko President Droupadi Murmu Ke Haathon Se 30th November Ko Arjuna Award Diya Jayega.
24-Years-Old Swimmer Swapnil, Jo Ki Abhi Bengaluru Based Ek Academy Mei Training Kar Rhe Hai, Unhone Kaha, “Maine Hamesha Se Hard Work Krne Pr Bharosa Kiya Hai. Halaki, Mere Father Swimming Coach The Par Mera Jhukav Swimmer Banne Ki Taraf Kbhi Nhi Tha. Six-Years Ka Tha Tab Ek Accident Ki Wajah Se Mere Leg Mei Deformity Developed Ho Gyi Jiski Wajah Se Mjhe Water Therapy Leni Hi Padi Q Ki Ye Bhi Treatment Ka Hi Ek Part Tha. Aur Aisa Krte Huye Mjhe Swimming Mei Interest Aane Laga Aur Professional Coaches Ki Help Se Maine Isme Improvement Bhi Dikhaya.”
Swapnil, Asain Para Event Mei Double Medallist Rah Chuke Hai. 2014 Mei Unhone Bronze Medal Aur 2018 Mei Silver Medal Jeeta Tha.
Sahaji College Se Masters Degree Pursue Kr Rhe Swapnil Ne Kaha Ki, “Mai Subah-Shaam 3 Hours Ki Training Krta Hun. Aur Afternoon Mei Study Krta Hun Aur Fitness Pr Work Krta Hun. Mujhe Apne Friends Aur Teachers Ka Bahot Support Milta Hai Jiski Wajah Se Bina Kisi Jyada Difficulties Mei Meri Schooling Aur Graduation Complete Ho Gai.
“Hard Work Ak Koi Bhi Alternative Nhi Hota Hai. Kbhi Kbhi Luck Ki Wajah Se Succeed Toh Ho Skte Hai, Par Ek Target Set Krke Bina Logon Ke Opinion Ke Bare Mei Soche Huye Hard Work Krte Rhne Se Ek Din Aap Definitely Hi Successful Banenge.”
Swapnil Ne Kaha Ki Wo Kolhapur Mei Ek Swimming Academy Open Krna Chahte Hai Specially Physically-Challenged Swimmers Ke Liye.
“Mere Father Abhi Bhi Training Dete Hai. Wo Sare Efforts Kr Rhe Hai Jiski Wajah Se Mai Apne Dream Ko Pura Kar Saku,” Unhone Kaha.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.