Karnataka Government Ki Taraf Se Swimmer Srihari Nataraj Ko Mila Ekalavya Award. 19-Year-Old Swimmer Ne Jo Ki Bengaluru Se Hai Unhone Is Honour Ko Share Karne Ke Liye Twitter Ka Use Kiya.
Covid-19 Ki Wajah Se Lagi Rok Ke Baad Ek Baar Phir Se India Ke Elite Swimmers Mei Se Ek Srihari Nataraj Phir Se Pool Mei Wapas Aa Gaye Hai. Next Year Hone Wale Tokyo Olympics Ke Liye Unhe Bahot Mehnat Karne Ki Jarurat Hai. Unhone Already Second-Level Olympic Qualifying Mark- B Standard Time Achieve Kar Liya Hai. Unhone 54.69 Secs Ki Timing Ke Sath 100m Breaststroke Mei B Grade Achieve Kiya Hai And ‘A’ Cut Ke Liye 53.85 Secs A Mark Hai.
Abhi Tak Kisi Bhi Indian Swimmer Ne A Standard Or Olympic Qualification Time Achieve Nahi Kiya Hai.
2019 Mei Srihari Nataraj India Ko Gwangju, South Korea Mei Hui World Aquatic Championship Mei Represent Kiya Tha. 2017 Mei Ashgabat, Turkmenistan Mei Hui 2017 Asian Indoor And Martial Arts Games Mei Compete Kiya Tha.
2018 Mei Gold Coast, Australia Mei Huye 2018 Commonwealth Games Mei India Ko Represent Kiya Tha. Uske Kuch Month Ke Baad Hi Unhone Jakarta, Indonesia Mei Hone Wale 2018 Commonwealth Games Mei Bhi Participate Kiya Tha. Aur Usi Saal Inhone Buenos Aires, Argentina Mei Huye Boys’ 50m Backstroke, Boys’ 100m Backstroke, Boys’ 200m Backstroke, Events Mei Summer Youth Olympics Mei Represent Kiya Tha.