“Is Time Bhi Pool Me Practice Karne Ko Milna Meri Kismat Hai”- Sajan Prakash

Sajan Prakash Ek Matra Aise Swimmer Hai Indian Ke Jo Is Time Apni Practice Continue Kare Hue Hai And Aisa Isliye Possible Hai Kyuki Wo Apni Country Me Nahi Hai Balki Thailand Me Hai, India Me Abhi Koi Bhi Pool Open Hone Ki News Nahi Hai Hai. Sajan Prakash Feburary Se Hi Thailand Me Hai And Unka Manna Hai Ki Wo Bahut Lucky Hai Jo Unko Is Time Me Pool Me Training Karne Ka Mauka Mil Rha Hai.

Sajan Prakash Ne Espn Ke Ek Interview Me Btaya Ki “Water Me Wapas Jakar Unko Aisa Laga Jaise Unki Body Stone Ki Bani Hui Ho”, Sajan May Ke Last Week Se Apni Practice Start Kar Chuke Hai, March Ke Start Hone Ke Sath Sajan Water Me Nahi Jap Aye The Kyuki Tabse Covid-19 Ke Karan Thailand Me Bhi Lockdown Chal Rha Tha.

Unhone Apne Interview Me Aage Btaya Ki “Swimming Ek Aisa Sports Hai Jiski Practice Land Par Nahi Ki Ja Sakti, Jab Aap Pool Se Break Lete Hai To Actual Me Aap Bahut Kuch Khone Lagtehai, Ye Kuch Aisa Hai Ki Hmko Fir Se Chalna Sikhna Pdta Hai”

Jaha Pure World Me Swimmers Olympic Ke Liye Apna Best Krne Ke Liye Lagi Hue Hai Wahi Sajan Abhi Bhi Apni Neck Injury Se Ubharne Ki Kosis Kar Rhe Hai. 2019 Me Sajan Ko Neck Me Slipped Disc Ki Dikkat Aa Gyi Thi Jiske Baad Unko Apne Left Arm Ko Move Krna Mna Tha. Doctor Ne Sajan Ko Physiotherapy And Exercise Ya Fir Surgery Se Theek Hone Ka Option Diya Tha Lekin Sajan Ne 2nd Option Ko Nahi Chuna Kyuki Sajan Ko Khtra Tha Ki Surgery Se Unka Sports Career Khatam Ho Sakta Hai.

Sajan Ka Aim Tokyo Olympics Ke Liye Qualify Karna Hai, Sajan Ne 200m Fly Me 1:57.73 Ka Personal Best Time Diya Hai And Unko Olympic A Standard Ke Liye 1:56.48 Ka Time Chahiye. Sajan Ne Ye Bhi Btaya Ki Unka Endurance Kafi Acchi Condition Me Hai And Unko Apni Speed Par Work Karna Hai. Agar Sajan Prakash Is Time Ko Achieve Kar Lete Hai To Wo Phle Indian Ban Jayenge Jo A Standard Ko Achieve Kar Lenge.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »