Bengaluru: Har athlete ka goal hamesha bada sapna dekhna hota hai. Halanki, ye sawal bhi hamesha bana rahta hai ki ak bada sapna kitna bada hota hai?
All-India Nettakalappa Swimming Championships ke 3rd edition me participate karne wale swimmers ko address karte huye Olympian Nisha Millet ne iss conundrum par jor diya.
42 years ki Arjuna Awardee me kaha, “Mujhe yaad hai ki jab main 10 saal ki thi, tab main Barcelona Olympics (1992) dekha tha aur apne parents se kaha tha ki main ak din Olympic jana chahti hun.” “Thankfully, mere parents meri declaration par nahi hanse, jisse mujhe swimmer ke roop me agle kuchh saalon ko shape dene me help mili. Jab main 8 saal baad Olympic (2000 Sydney Games) me pahochi, toh main opening ceremony ke dauran apne sapne ko sakar karne ke baare me emotional aur overwhelmed thi,” Women’s 200m freestyle race me participate karne wali Nisha ne kaha.
Usi time, mere bagal me ak stranger ladka baitha tha, jiska face seedha tha. Ye bachcha 8 saal baad (2008 Beijing Games) India ka first individual gold medalist bana. Isliye, maine Abhinav Bindra se hamare first encounter ke baare me puchha, Jahan Bindra hum sab ki tarah relaxed & unbothered lag rahe the. Ye unka first Game bhi tha aur unhone kaha: ‘Nisha, mera sapna kabhi bhi keval Olympics me jagah banana nahi tha, haan main khush tha lekin..ye hamesha Olympic gold jeetna tha,’ usne yaad dilate huye kaha.
Iss anecdote ko Next Gen ke swimmers se barriers ko break karne ke liye kahne ki prishthabhoomi ke roop me udhrit karte huye, twins mother ne India me iss game ko grow karane ke liye swimming community ki collective responsibility ke baare me baat ki.
Iss age groups (13-15 and above) ke swimmers hi future hain. Hume unhe iss tarah ke events me involve kar ke aur motivate karke unhe prize money, glamour and interviews dekar ya big screen par dikhakar inspire karna chahiye, jisse hamare game me excitement aaye.
Pradeep Back in Bengaluru
Indian swimming ke most decorated coaches me se ak, S Pradeep Kumar, jo 2016 me Bengaluru se Dubai chale gaye the, wo hamesha ke liye shahar laut aaye hain, DHNS ki report.
61 saal ke Dronacharya awardee- jinhone 29 years Tak Basavanagudi Aquatic Centre me Nisha, Rehan Poncha, Aaron D’Souza jaise kai Olympians sahit kai champions ko train kiya- ne DH ko bataya ki 37 years ke long career spanning ke baad, wo present me ak bahot important break ko enjoy kar rahe hain.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi