Gwalior Ke Para-Swimmer Satyendra Singh Ko Mila Best Sportsperson Ka Award

Gwalior Ke Para-Swimmer Satyendra Singh Ko Bengaluru Mei Organized Ek Function Mei Sports Mei Outstanding Work Ke Liye Best Sportsperson Of The Year Ka Award Mila. Satyendra Ne TOI(Times Of India) Se Kaha Ki, Wo Determined The Is Baat Ko Prove Karne Ke Liye Ki Agar Will Ho Toh Kuch Bhi Achieve Kiya Jaa Sakta Hai.

“Mai Thankful Hun Ki Mujhe Aisa Prestigious Award Mila. Halaki, Meri Journey Abhi Finish Nhi Hui Hai, Mujhe Abhi Aur Bhi Achieve Karna Hai. Mujhe Wo Din Bhi Yaad Hai Jab Physically Challenged Hone Ki Wajah Se Mai International Level Par Jyada Kuch Nhi Kar Paaya. Aur Ye Un Logo Ko Jawab Hai Jinhe Lagta Hai Ki Physically Disabled People Kuch Kar Nhi Sakte.”

2019 Mei, Indian Para Swimming Team Jisme Satyendra Singh Bhi The, Asia Se Pahle Aise Swimmer Bane Jinhone U.S Ki Catalina Channel Ko Cross Kiya. Indian Para Team Ne Bhi Channel Cross Kiya Hai. Satyendra Ka Naam Limca Book Of Records Mei Bhi Aaya Tha 2018 Mei English Channel Cross Karne Ke Liye. Unhone Tenzing Award Bhi Jeeta Hai. Tenzing Award Sirf 4 Category Mei Diya Jaata Hai- Land Adventure, Water Adventure, Air Adventure, Aur Lifetime Achievement Mei.

Satyendra Ne Kaha Ki Ye Unke Liye Bahot Honour Ki Baat Hai Ki Unhe Aise Prestigious Award Ke Liye Select Kiya Gaya Hai. “Ye Mere Sapne Ke Sach Hone Ke Jaisa Hai. Maine Is Din Ke Liye Jitney Bhi Efforts Kiye The, Jitni Bhi Mehnat Kit Hi Aaj Wo Sab Mujhe Is Award Ke Rrop Mei Wapas Mil Rahi Hai.  Maine Itni Mehnat Bass Isliye Ki Kyu Ki Mujhe Logon Ko Ye Prove Karna Tha Ki Physical Disability Kisi Ko Bhi Apna Dream Pura Karne Se Rok Nhi Sakti Hai. Bass Courage Ki Jarurat Hoti Hai Khud Ko Prove Karne Ke Liye.” Satyendra Ne Kaha Jinhe Legs Mei Disability Hai.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »