Visakhapatnam: Summer vacation start hote hi yhan me bachche swimming classes jaisi kai extracurricular activities me participate karne ke liye excited rahte hain. Halanki, city ke 2 Greater Visakhapatnam Municipal Corporation (GVMC) ke pools ki high fees iss excitement ko kam kar deti hai.
RK Beach and MVP Colony me Aqua Sports Complex city ke youths me popular hai. Decades se, ye swimming talent ko nurture karne aur competitive events ko host karne ka center raha hai. Halanki, 3 saal tak municipal pools ke band rahne ke baad se major activities ruk gayi hain, jisse city ki aquatic sports culture me ak noticable void aa gayi hai.
GVMC dwara 2.4 crore rupees ki cost se renovation ke baad, RK Beach par sthit pool ko 18 November 2023 ko dhoomdham se reopen kiya gaya. Halanki, iske reopen hone ke kuchh time baad hi pool ko 3 saal ke liye ak private operator ko lease pe de diya gaya, jiske baad high fees lagayi gayi, jisne aspiring swimmers aur unki families ko disappoint kar diya.
RK Beach pool ab three-month term ke liye 6,655 rupees charge karta hai, jabki MVP pool 4,720 rupees per month ki demand karta hai. Inn rates ne middle and low-income families ke liye swimming classes ko prohibitively experience bana diya hai.
Public facility ke roop me apni proclaimed role ke baawjood, GVMC pools citizens ke ak large sections ke liye inaccessible ho gaye hain. Corporators dwara exorbitant charges par repeatedly concern raise ki gayi hai, jinhone municipal corporation se intervention ki demand ki hai. JS corporator Peetala Murthy Yadav ne action ki kami par frustration express kiya hai.
“Hamne council meetings me baar-baar iss issue ko raise kiya hai. Public hum par pressure daalti hai, phir bhi GVMC ne hamari demand par dhyan nahi diya hai. Kuchh officials ke vested interests hain. Wo reportedly iss business me private operators ki help karna chahte hain. Wo kisi bhi meaningful change ko prevent kar rahe hain,” unhone kaha.
GVMC ke Mayor, Golagani Hari Venkata Kumari ne criticism pe respond karte huye kaha ki previous GVMC commissioner, CM Saikanth Varma dwara approved fee structure nominal thi, jo adults ke liye 750 rupees per month and bachchon ke liye 500 rupees thi.
Parents and community leaders ka manna hai ki swimming recreational se kai jada hai; ye physical and mental well-being dono ko promote karti hai. 10th class ke ak student ke father G Sanjay ne apni disappointment express karte huye kaha, “Swimming bachchon ko active and engage rakhti hai, especially summer me. Iski affordability ki kami unhe iss essential benefit se rob kar rahi hai.”
Lease agreements par revisit karne and affordable charges implement karne ki demand jor pakadti ja rahi hai. Parents and corporators ko ummeed hai ki GVMC sabhi ke liye swimming accessible banane ke liye swift action legi.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi