International ocean swimmer aur Tenzing Norgay National Award winner aur Shiv Chhatrapati Award winner, Shubham Dhananjay Vanmali ne Gateway Of India se Atal Setu tak 17km ki distance ko just 3 hours and 37 minutes me cover kar ak aur remarkable feat achieve ki.
Maharashtra State Amateur Swimming Association dwara held kiya gaya ye event Tuesday ko 7:12 AM pe start hua. Shubham subah 10:47 AM par Atal Setu pahoche, jo Naval Dockyard, Navy ke observation point Middle Ground Coastal Battery ke aaspas se hote huye Butcher Island and Gharapuri Caves se hote huye Atal Setu par khatm hua.
Minimal preparation ke baawjood, Shubham ne last minute me apni team se discuss karne ke baad iss mission ko complete karne ka decision liya. Shubham ne bataya ki, apna new business start karne ke baad last 6 months se unhone swimming ki koi practice nahi ki thi. Keval ak din ki practice ke saath, ye challenge jeetna challenging tha lekin unke experience ne mission ko complete karne me unki kaafi help ki.
Unhone apni success ka credit apne coaches Rupali Repale & Aniruddha Mahadik ke relentless efforts ke saath-saath apne parents Dhananjay Vanmali and Deepika Vanmali and fellow swimmer Dilip Koli ke unwavering support ko diya.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi