Saal 2023 India Ke Ace Swimmer Srihari Nataraj Ke Liye Kaafi Highs And Lows Wala Raha. Par Bengaluru Ke Is Ladke Ne Dono Ko Hi Bahot Calmly Liya Jo Unki Age Se Ulta Hi Hai.
Last Month Goa Mei Huye National Games Mein Srihari Ne 10 Medals Jeeta Tha Jisme Se Toh 8 Gold Medals The. Wo Male Athletes Mein One Of The Best The.
Hangzhou Asian Games Ke Flash Mei Jaayein Jo Ki September Mei Hua Tha Usme Nataraj Ne Three Events Mei National Record Banaya Tha. 200m Freestyle Ki Two Relays Bhi Isme Included Thi.
“Ye Sab Athlete Ke Life Ka Part And Parcel Hote Hai,” Nataraj Ne Telegraph Se Kaha Training Se Break Liya Hai Is Samay Nataraj Ne Aur Bangalore Mei Hai.
“Mujhe Bahot Bharosa Tha Ki Asian Games Mein Kuch Medals Mere Honge. But Aisa Hua Nhi. Aur Ye Aisi Chiz Hai Jiske Liye Sabhi Athletes Ko Ready Rahna Chahiye. Yahan Tak Ki Full Preparation Ke Sath Bhi Medal Guaranteed Nhi Hota Hai.”
Asian Games Ke Setback Ke Sath Phir Se Wapas Aane Mei Thoda Time Lag Jayega. Par Unhone Kiya, Jaisa Wo Pahle Bhi Kar Chuke Hai.
Nataraj Is Week Se Full Training Mei Wapas Sakte Hai. “Mai Apne Rhythm, Strokes And Balance Par Kaam Karunga. Ek Time Par Ek Hi Step Lunga,” Unhone Kaha.
To Wo Khud Ko Mentally Kaise Prepare Karte Hai Itne Bade Event Ke Liye? “Mai Simple Rakhta Hun. Har Subah Mai Is Thought Ke Sath Hi Uthta Hun Ki Mujhe Ek Baar Mein Ek Hi Task Par Focus Karunga.
“Ek Time Par Ek Stroke, Ek Time Par Ek Lap Aur Ek Time Par Ek Race. Yahi Ab Mera Motto Hai,” Unhone Kaha.(The Telegraph)
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.