SWIMMING KARTE SAMAY CROCODILE DWARA CHHEENI GAYI LADKI KI DEAD BODY 36 GHANTE BAAD MILI
Police ko Northern Australia me ak chhoti bachchi ki dead body mili hai, jise crocodile ne tab uthaya tha jab wo ak creek me swimming kar rahi thi. Iss discovery ke baad responsible crocodile ko pakadne ke liye efforts tez ho gaye hain.
Police ne Thursday ko 12 saal ki bachchi ke remains paaye, do din pahle use Northern Australia ke door ke ilaake me ak creek me swimming karte time crocodile ne snatch kar liya tha.
Police senior Sgt. Erica Gibson Police senior Sgt. Erica Gibson ne bataya ki remains river ke uss part me paaye gaye hain jahan ladki gayab hui thi. Ye jagah Northern Territory ki capital Darwin ke southwest me Palumpa Indigenous community me hai.
Gibson ne bataya ki injuries se crocodile ke attack ko confirm kiya hai.
LUDHIANA DISTRICT SWIMMING CHAMPIONSHIP ON JULY 6,7
Ludhiana District Swimming Championship me sub-junior, junior boys and girls, men and women categories ke liye 6 and 7 July ko Punjab Agricultural University (PAU) ke swimming pool me held kiya jayega. Ludhiana District Swimming Association (LDSA) ke president Apinder Singh Grewal ne kaha ki during two-day competition participants different age groups me top honours ke liye compete karenge.
Jinka janm 2015 aur uske baad hua hai wo group IV me compete karne ke liye eligible hain; jinka janm 2013 & 2014 me hua hai wo group III me compete kar sakte hain; jinka janm 2010, 2011 aur 2012 me hua hai wo group II ke liye eligible hain; aur jinka janm 2007, 2008 aur 2009 me hua hai wo group I mean compete kar sakte hain. Men and women categories me koi age limit nahi hai.
LDSA ke honorary secretary Balraj Sharma ne bataya ki Iss championship me participants ke performance ke base pe Ludhiana District ki sub-junior and junior swimming teams ka selection 47th Punjab State Swimming Championship ke liye kiya jayega, jo 20 aur 21 July ko PAU ke swimming pool me held ki jayegi.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi