Swimming Acedemics Aur Training Centres Ek Baar Phir Se Backfoot Par Aate Dikh Rahe Hai Aur Iska Sirf Ek Hi Reason Hai Aur Wo Hai COVID Case Mei Increase Hone Ki Wajah Se Aur Omicron Ke Darr Se. Itne Months Se Band Rahne Ke Baad Toh Pool Phir Se Open Kiye Gaye The Covid Protocols Ke Saath.
Chandrakumar P, Jo Ki Ek Qualified Coach Hai Technopark Club Mei Pichle 16 Saal Se Unhone Kaha Hai Ki, “Pandemic Ke Pahle, Pool Hamesha IT Employee Aur Unke Families Se Bhara Hota Tha Jo Ki Daily Aate The Classes Ke Liye. Jab Se Pandemic Aaya Hai Tab Se IT Employees Ka Bhi Yaha Aana Kam Ho Gaya Hai. Unme Se Jyadatar Log Work From Home Karne Lag Gaye Hai.”
Coach Ne Ye Bhi Kaha Hai Ki Lockdown Ke Baad Jab Se Pool Open Hua Hai Tab Se Sirf Vaccinated People Aur Wo Log Jihone RT-PCR Test Karaya Hua Hai Sirf Unhe Hi Entry Mil Rahi Hai Pool Mei. “Water Se Virus Na Spread Ho Isliye Proper Filtration Aur Chlorination Processes Bhi Follow Kiye Jaate Hai. Halaki Logo Ko Phir Hi Pools Se Dur Rakha Jaata Hai Precautionary Measures Ke Liye. Aur Yhi Wajah Se Ki Hume Pools Closed Rakhna Padta Hai. Other Facilities Jaise Gym Bhi Abhi Nhi Start Hui Hai,” Unhone Kaha.
“Hum Un Sabhi Safety Guidelines Ko Follow Kar Rahe Hai Jo Government Ne Batai Hai. Hamare Sabhi Staffs Vaccinated Hai Aur Unhi Adults Ko Entry Di Jaati Hai Jinhone Vaccine Ka Double Dose Complete Kar Liya Hai. Halaki Log Khud Bhi Extra Causious Hai Aur Pool Mei Kam Aa Rahe Hai,” Sunil Basha, Jimmy George Sports Hub Swimming Pool Ke Manager Ne Kaha.
Lockdown Ke Baad Se Jab Pool Open Hua Hai Toh Sirf Fully Vaccinated Aur Jinhone RT-PCR Test Kiya Hai Unhe Hi Pool Ke Andar Allow Kiya Jaa Raha Hai.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:– SwimSwamHindi