Coronavirus Se Athletes Ko Bachane Ke Liye SAI Ne Band Kiya Apna South Campus

Coronavirus Jo Ki Ab Pandemic Declare Kar Di Gayi Hai Uska Asar Ab Sports Par Bhi Dikhne Laga Hai. Globally 100,000 Is Virus Se Infected Hai And India Me Abhi Tak 60 Se Jyada Cases Sunne Me Aye Hai, Isi Ko Dekhte Hue India Ki Top Sports Authority SAI Ne Kuch Kadam Uthaye Hai Taki Athletes Ko Is Virus Se Bachaya Ja Sake.

Sports Authority Of India Ne Apne South Centre Jo Ki Banglore Me Hai Usko Lock Down Kar Diya Hai Aisa Isliye Kiya Hai Kyuki Banglore Me 2 Din Me 4 Corona Virus Ke Cases Samne Aye Isliye SAI Ke South Centre Ko Band Karne Ka Faisla Liya Hai. Training Facility Ne Iske Sath Ye Bhi Nirdesh Jari Kiye Hai Ki Koi Bhi Campus Ke Bahar Na Nikle.

Ek Official Report Me Unhone Kaha Ki SAI Centre Me India Ke Top Athlete Train Hote Hai Isliye Wo Un Athletes Ke Health Ke Sath Koi Bhi Chance Nahi Lena Chahte.

Isko Bhi Read Kare- Coronavirus Par Chlorine Ka Asar

Unhone Report Me Aage Btaya Ki Ye Lock Down Tabtak Rhega Jabtak Ki Government Ki Taraf Se Koi Order Nahi Jari Kiya Jata, Jitne Bhi Visitors Aayenge Unko Achi Tarike Se Monitor Kiya Jayega Uske Baad Hi Unko Entry Di Jayegi, Entry Ke Phle Visitors Ke Temperature Ko Bhi Measure Kiya Jayega.

Come And Play Scheme Ke Antargat Koi Bhi Civilians SAI Centre Ki Facilities Ko Use Kar Skta Hai Lekin Filhal Ke Liye Usko Bhi Close Kar Diya Gaya Hai. Is Scheme Me Swimming Bhi Ek Major Sports Hai Jisko Civilians Krte The Lekin Coronavirus Ke Risk Ke Karan Ab Koi Bhi Civilians Ye Labh Nahi Le Payega.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »