Shahar Ke Residents Jo Relaxation, Exercise And Training Ke Liye Greater Chennai Corporation Par Depend Hain, Wo Pareshan Hain Kyunki New Maintenance Contract Me Delay Hone Ki Wajah Se Marina, Vepery And Thiruvottiyur Ke Swimming Pools Lagbhag 3 Mahine Se Band Hain.
Previous Contract 30 June Ko Khatm Ho Gaya Tha. Ak Corporation Official Ne Kaha Ki Mullai Malar Naam Ke Ak Private Company Ne 2019 Me 10 Saal Ke Liye Contract Jeeta Tha. Official Ne Kaha, “ Ye 5 Saal Ke Liye Ak Fix Contract Tha. Next 5 Years Me Renewal Performance Ke Base Par Tha. Humne Iss Saal Ise Terminate Kar Diya Kyunki Performance Achhi Nahi Thi.”
Halanki, Contractor Ne Tark Diya Ki Contract Ko Extend Karna Chahiye Kyuki COVID 19 Pandemic Ki Wajah Se Lockdown Ke Karan 2020 Me Swimming Pool 2 Saal Ke Liye Band The.
Corporation Ne Ab Pool Ke Maintenance Ke Liye Naye Sire Se Tenders Jaari Kiye Hain, Lekin Ise Phir Se Kholne Ke Liye Koi Clear Timeline Nahi Di Hai.
“ Three Bidders Bidding Ke Liye Aaye Hain. Humne Unhe Bataya Hai Ki Safety Hamari Priority Hai. Last Year Corporation Ke Pool Me Doobne Ki Dukhad Ghatnayen Hui Thi. Hum Ak Quality Contractor Chahte Hain Jo Sabhi Safety Standards Ko Follow Kar Sake. Tenders Ak Week Ke Andar Final Kar Di Jayengi,” Deputy Mayor Mahesh Kumar Ne Kaha.
Last Year Marina Pool Me Ak 4 Saal Ka Bachcha Doob Gaya Tha. Iski Wajah Se Temporary Band Karna Pada. Unhone Kaha Ki Corporation Ke Engineers Ak Safety Checklist Develop Kar Rahe Hain Jo Ye Ensure Karegi Ki Sabhi Facilities Par Lifeguard, Coach And Safe Infrastructure Present Ho. Unhone Kaha Ki Har Swimming Pool Me Ak Pool Manager Hona Chahiye Jo Safe Operation, Sabhi Facilities Ki Maintenance And Sabhi Life Safety Measures Ke Upkeep Ke Liye Responsible Hoga. Mahesh Kumar Ne Kaha, “Wo Kisi Bhi Lapse Ke Liye Accountable Hai.”
20 Saal Ki College Ki Student Riya Suresh Jaise Kai Log Training Ke Liye Inn Public Pools Pe Depend Hain. “Private Pools Expensive Hain. Ye Pool Bilkul Perfect Tha. Ye Accessible And Budget Friendly Hai. Mera Aim District Level Tournaments Me Compete Karna Tha,” Usne Kaha, Usne Aage Kaha Ki Wo Phir Se Iss Pool Ke Khulne Ka Wait Kar Rahi Hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi