Coaches And Swimmers Ke Liye Success Mantra

Hello Swimmers, Aaj Mai Ek Aise Topic Par Baat Krne Wala Hu And Kuch Jaruri Tips Share Karne Wala Hu Jo New Swimmers Ke Liye Kafi Jyada Important Ho Ne Wali Hai. Kyuki Jyadatar Ye Dekha Gya Hai Ki New Swimmers Long Time Tak Khud Ko Ek Taraf Focus Nahi Kar Pate, Isliye Aaj Mai Jo Tips Dene Ja Rha Hu Wo Ye Hai Ki Kaise Swimmers Khud Ko Ek Hi Direction Me Focus Kar Skte Hai.

Article Shuru Karne Se Phle Ek Important Announcement Hai Ki, Agar Aapko Bhi Koi Tips Ya Workout Ya Kuch Bhi Swimming Se Related Swimswam Par Publish Karni Ho To Aap Mere Whatsapp(+917237873486) Par Contact Kar Skte Hai. Article Ke Sath Aapka Name Or Photo Attach Rhegi Jisse Log Aapko Jaan Payenge.

To Chaliye Apna Article Shuru Karte Hai:

Swimmers Shuru Me Kafi Energetic Hote Hai Or Practice Me Bhi Kafi Acha Karte Hai But Dhire Dhire Wo Apne Practice Se Divert Hona Shuru Ho Jate Hai Or Fir Gap Bhi Karte Hai, To Aisa Kyuk Hota Hai? Sayad Isliye Kyuki Wo Bore Ho Jate Hai Daily Ek Jaisa Schedule Kar Ke Ya Wo Kisi Or Chiz Par Attract Hone Lgte Hai. Lekin Reason Chahe Jo Bhi Ho, Agar Aap Ek Coach Ho Ya Parents To Aapko Ek Chiz Par Pura Dhyan Dena Chahiye Ki Aap Apne Swimmers Par Hmesa SWIMMING Ka Burden Dalna Band Krna Hoga. Or Agar Aap Ek Coach Ho To Aapko Workout Or Interesting Bnana Hoga Taki Swimmers Ko Wo Workout Karne Me Acha Feel Ho Or Unka Improvement Bhi Ho. Maine Kafi Coaches Ko Dekha Hai Jo Pool Par Aate Hi Kah Dete Hai Ki Ye-Ye Workout Itne Time Me Krna Hai Or Bas Ek Jagah Chair Par Baith Jate Hai, Jo Ki Bilkul Galat Hai. Coach Ko Hmesa Apne Swimmers Se Baat Karte Rhna Chahiye Workout Ke Time Or Motivation Ke Sath Unko Push Krna Chaiye.

Lekin Maine Kuch Coaches Aise Bhi Dekhe Hai Jinke Bina Swimmers Ka Mann Hi Nai Lgta Workout Me, Kyuki Wo Coaches Swimmers Ko Interesting Way Me Train Karna Jante Hai.

Mera Suggestion Coaches Ke Liye:

1) Week Me Ek Din FUN DAY WORKOUT Krana

2) Daily Workout Ko Change Karna

3) Workout Me Thoda Friendly Hona

I Think Itna Kaam Karne Se Coaches Apne Swimmers Me Ek Positive Change Dekh Skte Hai.

Swimmers Ko Kya Krna Chahiye ?

Swimmers Ke Motivation Ke Liye Maine Hmesa Ek Baat Yahi Khi Hai Ki Swimmers Ko Daily Ek Chota Target Set Karke Pool Par Jana Chahiye Or Puri Kosis Krni Chahiye Ki Wo Target Wo Usi Din Hasil Kar Le. Isse Hi Wo Motivate Or Positive Rhenge.

More Workout On SwimSwam Hindi:-

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »