Father Agnel Junior College ke student aur young swimming sensation Rishabh Das (17) ne haal hi me Odisha ke Bhubaneshwar me held Junior Nationals me 50m backstroke me national record break kar record create kiya. Olympian Srihari Nataraj ne haal me sampanna Paris Olympics 2024 me National Record banaya. Apne record break karne wale exploits ke alawa unhone 50m, 100m, 200m backstroke aur 100m freestyle events me 4 individual gold medals jeete.
Itna hi nahi, unhone 50m freestyle me silver medal bhi jeeta. Halanki, other events me wo National Record se thoda chook gaye. Maharashtra relay team ke part ke roop me, Das ne 4x100m freestyle me silver medal aur 4x100m medley relay me bronze medal jeeta. Unke shandar medal jeetne wale performance ke base par, unhe best swimmer trophy se honour kiya gaya.
Unke coach Gokul Kamath ne kaha, “Ye national competition me ab tak ka unka finest performance tha. Iss saal ki shuruaat me, unhone Asian Age Group Swimming me India ko represent kiya aur 2 medals bhi jeete. Ab unme bada mukam haasil karne ki kshamta hai.”
Father Agnel, jo state me akmatra aisi jagah hai jahan Khelo India Accredited Academy hai, ne 10 swimmers ko national level par bheja. Ak anya champion swimmer, Pratishtha Dangi ne 100m backstroke, 100m butterfly, 200m backstroke me triple gold medals aur 50m backstroke me bronze medal jeetkar top podium par jagah banai. Unhone Maharashtra ki medley relay team ke part ke roop me silver medal bhi jeeta.
Pratishtha ko girls’ under-17 category me best swimmer ko trophy se sammanit kiya gaya.
Iske alawa, Aditi Hegde ne 1500m freestyle me gold medal aur 800m freestyle, 400m freestyle, 200m freestyle aur 50m freestyle me 4 silver medals jeete. Unhone 4×100 freestyle relay aur 4×200 freestyle relay event me 2 silver medals bhi jeete. Shlok Khopade ne state team ke liye medal relay le part ke roop me ak silver jeeta. Atharva Patil ne medley events me final me jagah banai aur freestyle aur medley relay me 2 bronze medals jeete.
Rayan Sayyed ne team Maharashtra ke liye relay me 2 bronze medals bhi jeete. DPS school ki Dakshaja Dey Upreti ne 1500m freestyle aur 800m freestyle me 1 individual silver aur bronze jeeta. Unhone 4x100m freestyle relay aur 4x200m freestyle relay me 2 silver medals bhi haasil kiye. Kul milakar, Agnel ke players ne national level par 29 medals jeete.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi