Haal hi me 16 saal ki hui ak British Indian schoolgirl ne India and Britain me childhood hunger ke against fight karne wali ak charity ke liye notoriously choppy English Channel ko cross kar youngest girls me se ak bankar history create kar diya hai. North London ke Bushey Meads School ki student Prisha Tapre ko English Channel ke baare me ak family discussion ne iss challenge ko lene ke liye motivate kiya, jab wo sirf 12 saal ki thi.
4 saal ki training ke baad, wo last week England ke Dover coast se France ke Cap Gris Nez tak 34km ki swim 11 hours and 48 minutes me complete karne me successful rahi. Hertfordshire ke Watford me apne ghar se ak interview me apne mission ko yaad karte huye Tapre ne kaha, “Starting me ye kaafi choppy tha, lekin jab sun rise hone laga, toh mujhe pata chal gaya ki sabse worst part khatm ho chuka hai.”
Swimming ke shaukeen jo apne ghar ke paas ki lake ko apne “calm place” ke roop me describe karte hain, ne bahot saari meditative techniques ka use kiya aur yhan tak ki jellyfish ke saath ak strange bond bhi feel kiya, jisne unhe raste me dank maara.
“Jellyfish ke dank shayad mere favourite bit the kyunki ye ak tarah ki trans me hote hain. Phir extra feeling hai. 9 ghante tairne ke baad, aap ak tarah ki trance me hote hain. Lekin phir jellyfish stings ne mujhe yaad dilaya ki main sach me zinda hun. Mujhe pata hai ki ye ajeeb lagta hai, lekin ye meri bucket list me tick karne ke liye kuch tha,” unhone share kiya.
UK born teenager jiske parents Maharashtra se hain, me apne dwara select ki gayi charity – Akshaya Patra UK ke liye GBP 3700 raise kiya. Akshaya Patra UK India me headquartered non-profit organisation hai jiska mission jaruratmandon ko hot meals provide karana hai.
Waterford Swimming Club ke support se iss tough mission ko complete karne ke baad ab Tapre ka focus school term pe hai jo iss month se start hone wale hain.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi