Australian Olympic Swimming Coach Ko Fire Kiya Gaya

Swimming Australia ne Friday ko apne Olympic coaching staff ke ak member ko fire kar diya, jisme kaha gaya ki apne country ke players ke against race kar rahe ak rival South Korean athlete ka support karke reputation ko serious damage pahochaya hai.

Coach Michael Palfrey ne tab halchal macha di jab unhone kaha ki unhe ummeed hai ki Kim Woo-Min- jinhe unhone ak time coaching di thi- do Australians ke bajay men’s 400m freestyle jeetenge.

Head Coach Rohan Taylor ne kaha ki Palfrey ke actions “un Australian” thi, but team ne uss time unhe fire nahi kiya kyunki ye bahot disruptive hota.

Swimming Australia ne Friday ko kaha ki, “ Swimming Australia ne employment agreement ke ullanghan ke karan Michael Palfrey ko terminate kar diya hai.”

“Palfrey ko apne employment  ullanghan karte huye paya gaya ki unhone khud ko badnam karke aur apni aur Swimming Australia ke reputation ko serious damage pahochakar, aur Swimming Australia ke interests ko adversely affect karke apne employment contract ko breach kiya hai.”

Palfrey ne Australian swimmers Zac Incerti, Abbey Conor and Alex Perkins ke saath kaam kiya.

But unhone Games se pahle Brisbane me training ke dauran South Korea ke Kim ko bhi training di.

Jab South Korean journalists ne Palfrey ka interview liya aur unse Kim ke baare me puchha toh wo Australian team ke colour ke kapde pahne huye the.

Palfrey ne kaha, “Mujhe wakai ummeed hai ki wo jeetenge but ultimately mujhe ummeed hai ki wah achhi swimming karenge.”

 

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »