Australia Ki Most Decorated Swimmer Olympian Ne Retirement Liya

Australia ki most decorated Olympian aur 8 baar ki world-record holder swimmer Emma McKeon ne Monday ko 30 saal ki age me sports se retirement le liya.

McKeon ne iss garmi me Rio, Tokyo and Paris Games me 14 Olympic medals jeete, jinme se 6 gold medals the.

Unhone Instagram par apne career highlights ko dikhate huye clip ke ak collage ke saath apne retirement ki news di.

Unhone kaha, “Paris Olympics se pahle mujhe pata tha ki ye mera last Olympic hoga aur uske baad ke months ne mujhe apni journey par reflect karne aur ye sochne ka time diya ki main swimming me apna future kaisa dekhna chahti hun.”

COVID delayed 2021 ke Tokyo Games me McKeon ne sach me apna naam banaya, unhone 7 medals jeetkar all-time swimming greats me shaamil ho gayi.

Unke 4 gold and 3 bronze medals East German ki Kristin Otto (1988) and American Natalie Coughlin (2008) dwara jeete gaye 6 medals se better the. Ak versatile and tenacious freestyle and butterfly racer, London 2012 Olympic team ke liye qualify karne me fail hone ke baad unka career khatre me pad gaya. Iske baad bhi, wo apni country ki most honoured Olympian ban gayi. Ak aisa field jisme Australia ki swimming prowess ko dekhte huye bahot competition hai.

New South Wales ke Wollongong me janmi McKeon, jinki excellence unki humility se match hoti thi, ko pool heritage me mili thi, unke father Ron ne 1980 and 1984 ke Olympic me swimming ki thi.

McKeon ki mother Susie ne 1982 ke Commonwealth Games me swimming ki thi, jabki unke brother David ne 2012 and 2016 ke Olympic me participate kiya tha, Emma and David 56 years me same games me Australia ke liye swim karne wale first brother and sister ban gaye.

Unke long-time personal coach Michael Bohl ne kaha, “Wo ak quiet achiever hai, kisi bhi tarah ke fuss se hate hai, kisi bhi tarah ki badnami nahi chahti. Lekin use apni country ko represent karne aur apne teammates ko support karne me proud feel hota tha. Hamare khel me usne jo achieve kiya hai wo unsurpass hai.

Australia ki Olympic Committee ne lagatar “excellence ke standard set karne” ke liye unhe praise kiya, jabki Swimming Australia ne kaha ki unhe Dawn Fraser and Ian Thorpe ki tarah yaad kiya jayega.

Swimming Australia ke Chief Rob Woodhouse, jo McKeon ke uncle hain, ne kaha ki unhe swimming ko represent karne ke liye bhi yaad kiya jayega.

Unhone kaha, “Paani ke andar aur bahar unhone jo standard set kiye, wo bemisal the aur unhe iss khel se lifelong pyar hai, isliye wo swimming se kabhi gayab nahi hongi.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »