3 Aisi Baate Jisse Swimmers Ki Improvement Hona Confirm

Hello Guys Kaise Hai Ap Sab I Hope Sab Achhe He Honge To Guys Aaj Mai Apko Kuch Aisi Tips Dunga Jisko Follow Kerne Ke Baad Apke Swimming Me Improvement Hogi, Ha Doston Agar Ap Humari Website Swimswam.Com/Hindi Pe First Time Visit Kr Rhe Hai To Please Humari Website Ko Subscribe Kerna Na Bhuliyega Taki Ap Log Humare Interesting Articles Padh Pay. Ye Article Pranjal Pal Dwara Likha Gya Hai

Aj Ke Time Mai Har Swimmer Ke Mind Mai Sirf Ek He Question Rehta Hai Ki Mai Aakhir Apni Swimming Ki Speed Kaise Improve Kru??

Aur Har Swimmer Sirf Ek He Chij Sochte Rehte Hai Ki Kaash Koi Short Trick Mil Jay Jisse  Ki Meri Speed Badh Jay. Hum Logo Ki Ek Problem Hai Ki Hum Log Jaise Beginner Level Swimming Sikhne ke Baad Apni Practice Se Door Bhagne Lagte Hai Jabki Hum Logo Ko Aisa Nhi Kerna Cahiye Hota Hai Apko Ye Malum Hona Cahiye Ki Ap Ki Speed Baithe Baithe Nhi Badhne Wali Hai Uske Liye Apko Khub Practice + Correct Technique Kerni Hogi.  

 

  • Deep Breath

 

Jb Hum Full Speed Mai Swimming Kerte Hai To Ek Chij Hum Log Bhul Jate Hai Breath Lena. Guys Ye Sabse Important Hai Aur Breath Lena Important Nhi Hai Deep Breath Lena Most Important Hai Isse Apki Recovery Kafi Jaldi Hoti Hai Aur Ap Speed Mai Swim Kr Paoge. Aisa isliye Kyuki Deep breadth Lene se Muscles Me Oxygen Jyada Pahuchega And Lactic Acid Kam Amount me bnega.

 

  • Ek Positive Training Environment Bnana Apne Ass Pass

 

Hum Mai Se Kyi Swimmer Aise Hai Jo Bahut Jyada Practice Kerte Hai Lekin Unki Speed Mai Koi Changes Nhi Ho Rhi Hai Aisa Baar Baar Hone Pr Humare Ass Pass Negativity Create Ho Jati Hai Aur Usse Humara Time Aur Bekar Hota Chala Jata Hai Iske Liye Sabse Pehle Apko Positive Thinker Hona Cahiye Aur Agar Apke Practice Kerne Se Apka Time Achha Nhi Aa Rha Hai To Ap Apne Coach Se Directly Baat Krke Apna Schedule Change Karwao Isse Improvement hone ka chance jyada badh jayega.

 

  • One Thing

 

Ab Last Mai Baat Aati Hai Ki Ap Kafi Achhe Se Practice Kr Rhe Ho Isliye Ki Ap Apna Time Kafi Achha Dena Cahte Ho Ap Din Mai Do Baar Kafi Achhe Se Practice Kr Rhe Hai Sabhi Strokes Ki Lekin Ap Abhi Bhi Ek Chij Ki Practice Nhi Kr Rhe Ho Wo Hai Race Wale Din Apne Dar Ko Bhgane Ki Doston Har Ek Swimmer First Time Race Mai Participate Lete Time Dra Hua Rehta Hai Ki Kya Hoga Ab Kahi Meri Ek Mistake Se Meri Puri Team Ka Mejak Na Ban Jay Apko Sabse Pehle Apne Is Dar Ko Khatam Kerna Hoga Aur Apka Yhi Dar Apke Slow Speed Ka Main Reason Hai. Chaliye Phir Jab Ap Apne Competitor Ke Sath Race Kerte Ho To Ap Apne Stroke Aur Swimming Pe Dhyan Na Dete Hue Apne Competitor Pr Jyada Dhyan Dete Ho Is Chij Se Bhi Apki Speed Kafi Slow Ho Jati Hai Apko Dhyan Rakhna Hoga Ki Jab Bhi Ap Kisi Race Mai Participate KRo To Sirf Aur Sirf Apne Ap Aur Apne Strokes Pe Pura Concentrate Kro.

Yakin Maniye Doston Upar Btay Gye Sabhi Tips Ko Follow Kerne Ke Bad Ap Ki Speed Mai Kafi Improve Hoga.      

More Workout On Swimswam Hindi:-

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

Facebook Par Update Rhne Ke Liye Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »