Prakash, Pahle Aise Indian Swimmer Jinhone Olympics Ka ‘A’ Standard Time Achieve Kiya, Unhe 2019 Mei Hi Slipped Disc Se Suffer Karna Pada Tha Jiski Wajah Se Swimming Ke Dauran Unke Left Hand Mei Pain Bahot Hota Hai.
Ace Indian Swimmer Sajan Prakash Swimming Pool Se Kuch Time Off Le Kar Kaafi Samay Se Chal Rhe Neck Issue Ki Kerala Mei 2 Week Ke Liye Ayurvedic Treatment Karayenge.
“Mai Ayurvedic Treatment Karwaunga. Ye Two Week Ka Plan Hai. Isme Massage,Etc. Bhi Involved Hai, Ye Aapki Body Reset Karne Jaisa Hai,” Prakash Ne PTI Se Kaha.
“Iske Baad Jab Mai Phir Se Swimming Shuru Karunga Toh Ye Ek Baar Phir Se Start Karne Ke Jaise Hi Hoga, Dhire Dhire Build Up Hoga. Ye Future Ke Liye Ek Acchi Investment Hogi,” Unhone Add Kiya.
27-Year-Old Butterfly Specialist Ne Four-Month Rehabilitation Program Already Complete Kiya Hua Hai. Last Year Jab COVID-19 Ki Wajah Se Globally Lockdown Imposed Hua Tha Tab Hi Unhone Ye Kiya Tha.
Swimming Pool Se 8-9 Mahine Dur Rahne Ke Baad Training Ekdum Scratch Se Start Karna Pada Prakash Ko, Aur Upar Se Butterfly Style Sabse Toughest Style Mei Se Ek Hai, Jisme Acchi Technique Ke Saath Saath Strong Muscles Ki Bhi Jarurat Padti Hai.
“Maine Treatments Karwa Kar Jitna Ho Sakta Tha Utna Apna Shoulder Sahi Karne Ki Koshish Ki, But Abhi Tak Maine Apne Left Hand Mei Full Power Nhi Paai Hai”
Prakash, Jo Ki Dubai Mei Coach Pradeep Kumar Ke Saath Train Huye Hai, Unhone Treatment Ke Liye Kerala Mei 2 Place Shortlist Ki Hai.
Prakash Ne Tokyo Mei 2 Events Mei Compete Kiya Tha. Men’s 200m Aur 100m Butterfly Mei-But Dono Ke Semifinals Mei Nhi Jaa Paaye.
200m Butterfly, Apne Pet Event Mei, Prakash Ne 38 Swimmers Mei Se 24th Par Finish Kiya Tha.