Jab wo swimming pool ke paani me dive karta hai, toh use kuchh bhi sunai nahi deta kyunki Arush Lanjewar partial deafness ke saath paida hua tha. Lekin ak aise sport me, jisme hearing impaired log aksar pareshan rahte hain kyunki wo apni hearing machine nahi laga sakte, Vadodara ke rahne wale Arush ne na keval swimming seekhi balki national championship bhi jeeti.
Unhone National Deaf Swimming Championship me 50m and 100m butterfly stroke me 2 gold medals jeete, iske alawa 200m individual medley and 200m freestyle category me 2 silver medals jeete. Aur, 15 saal ke Arush Thiruvananthapuram me held national tournament me Gujarat se akmatra participant the. “Use bahot age se hi paani se lagao tha isliye hum use summer vacations me swimming ke liye le jaate the. Wo hamesha paani me sahaj rahta tha. 3 saal pahle, Arush ne competitive swimming me aane ka decision liya aur tournament me participate karna start kar diya,” Arush ki mother Kadambini ne kaha.
Shuruaat me ye thoda mushkil tha kyunki swimming class lete time use apna earpiece nikalna padta tha. Pool me coach se instructions lena mushkil tha lekin Arush ne challenge accept kiya aur aur competitive swimming seekhi,” Kadambini ne bataya.
Arush ne Sports Authority of Gujarat (SAG) dwara start kiye gaye District Level Sports School (DLSS) me apni training start ki aur use coach Vivek Singh Borliya ne training di. “Ye Arush ki first national championship thi aur usne isme 4 medals jeete. Arush ko hamesha swimming ka shauk tha aur wo swimming classes ke dauran bahot attentive rahne ke alawa ak quick learner hai,” Singh, jinhone Arush ko instruct and train karne ke liye kadi mehnat ki.
2023 me Arush ne Bhopal CBSE zonal competition me 400m individual medley category me silver medal jeeta. 2024 me unhone Indore me CBSE zonal competition me 800m freestyle and 200m individual medley me bronze medal jeeta. Baad me unhone Rajkot me SFI competition me 50m freestyle and 200m individual medley me bronze medals jeete.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi