14 Saal Ki Age Me India Ko Olympics Me Represent Karnegi

Bengaluru: Wednesday ko ek brief conversation me, teen talent Dhinidhi Desingu ne aksar ‘excitement’  aur ‘nervousness’  par emphasize kiya. After all, 14 year old Bengaluru swimmer Paris Olympic me Indian contingent ki sabse kam age ki member banne ke lie taiyaar hain.

Srihari Nataraj ke saath (100m backstroke)  Dhinidhi (200m freestyle) ko Wednesday ko Swimming Federation of India ke dwara ‘Universality Quota’ ke under India ke representative ke roop me naamit kiya gaya tha.

Aisa tab hua jab Indian swimmer ‘A’ or ‘B’ qualifying mark attain karne me fail rahe. 6 saal pahle competitive swimming start karne wali Dhinidhi ne lamba safar tay kiya hai. Last year Goa National Games me 7 gold medals jeetne ke baad, unhone saal ki shuruaat me hi Doha me World Championships me hissa liya.

“14 saal ki age me India ko Olympics me represent karna ak honor hai. Main apne se bade swimmers ke saath compete karne me nervous hun,” Dhinidhi ne TOI ko bataya. Dhinidhi, jo 2022 ke Asian Games me youngest Indian thi, me aage kaha,  “Main ummeed karti hun ki ye meri journey ko bas ak shuruaat ho. Mujhe is khel mein abhi lambi journey tay karni hai aur Olympic mere liye ek achha experience hoga.”Kendriya Vidyalaya, DRDO class 9 ki student ne last year senior nationals competition me 200m freestyle me 2.04.24 second ka apna best personal time achieve Kiya tha.

Dolphin Aquatics se coach Madhu Kumar BM jo unhe 2019 se coaching de rahe hain, chahte hain ki unki student us mark mein improve kare. Madhu ne young swimmer ki  dedication and hard  work ki prashansa karte huye kaha, “halanki vah bahut chhoti hai, lekin Dhinidhi understands  ki yah opportunity kitna bada hai aur wah is experience se seekhne ke liye excited hai. Paris Olympic mein apne event mein apne personal best ko better banana primary focus hoga.”

Iss beech, Srihari jinhone Tokyo Games me liye ‘A’ cut banaya hai, apne second Olympic me compete karenge. Dono ne male (849 points) and female (749 points) categories me highest ranked Indians hone ke base pe cut haasil Kiya.

 

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »