National Swimming Coach Pradeep S Kumar Ne Sunday Ko Kaha Ki, Tuesday Se Start Hone Wali 10th Asian Age Group Championships Mein India Ka Aim Hoga Ki Wo Medals Tally Mein Top Par Finish Kare.
Coach Pradeep Ne Apne Swimmers Par Full Confidence Dikhaya Aur Kaha Ki, Mere Swimmers Puri Tarah Se Ready Hai Aur Yaha Tak Ki Pichle Edition Mein Banaye Gaye 5 Gold, 13 Silver, Aur 22 Bronze Medal Ka Record Woh Is Edition Mein Break Kar Denge.
“Aisa Pahli Baar Hua Ki Inme Se Kai Swimmers Aise Bhi Hai Jo Aise Bade International Event Mein First Time Home Mein Perform Karenge Aur Unka Confidence Bhi High Hai. Sabhi Swimmers High Spirit Aur Saath Saath Well Prepared Bhi Hai Jisse Who Apna Pichle Edition Ka Record Is Edition Mein Break Kar Sake.” Unhone Kaha.
“Isme Koi Doubt Nahi Hai Ki Hum Medals Tally Mein Top Par Pahochne Ka Aim Rakhenge.” Dronacharya Awardee Ne Kaha.
Japan, Chinese Taipei, Kazakstan, Thailand Se Aaye Huye Full Strength Squads Ko Itne Easily Piche Kar Dena Host Team Ke Liye Easy Kaam Nahi Hoga, Aur Coach Is Baat Se Puri Tarah Se Aware Hai.
“Chinese Taipei, Thailand, Japan Aur Kazakstan Jaisi Countries Se Aaye Contingents Ke Saath Yah Ek Challenging Meet Hogi,Jisme Unke Pure Squad Mein Unke Countries Ke Best Swimmers Honge.” Jordan Aur Syria Jaisi Countries Ke Swimmers Ko Bhi Dhyaan Se Dekhna Hoga. Pradeep Ne Kaha, Particularly Group 1 Boys Aur Group 2 Girls Ke Beech Competition Tough Hoga Par Hamare Swimmers Ne Acchi Progress Kari Hai.
Yah Nine-Day Tournament, Jo Ki 2020 Tokyo Olympics Ke Liye Ek Qualifying Event Bhi Hai Isme Toh Jahir Si Baat Hai Ki Isme Bahot Si Countries Participate Karengi. Is Tournament Mein Iran, Jordan, Kuwait, Kyrgyz Republic, Maldives, Nepal, Oman, Qatar, Saudi Arabia, Turkmenistan, UAE, Uzbekistan, Vietnam, Thailand, Sri Lanka, South Korea, Philippines, Indonesia, Singapore, Bangladesh Aur Syria Jaisi Countries Participate Karne Wali Hai.
Ace Indian Swimmers Ke Bare Mein Baat Kare Toh Sajan Prakash Aur Srihari Nataraj Jinhone Tokyo Olympics Ke Liye ‘B’ Qualification Time Achieve Kiya Hai Aur Abhi Recently Hi Bhopal Mein Huye Senior Nationals Mein Kaafi Accha Perform Karne Wale Virdhawal Khade, In Teeno Paas Yah Ek Golden Opportunity Hogi Ki Who Accha Perform Kare Aur ‘A’ Qualification Time Ko Achieve Kare. Coach Pradeep Ne Kaha.
Is Event Mein Open Category (18 Years Aur Use Jyada) Mein Participate Karne Wale Participants Ke Sath Sath Age Group I (15-17 Years) Aur Age Group II ( 14 Years Aur Use Kam) Ke Bhi Participants Honge.
Iske Previous Edition Mein India Ne Swimmingv Mein 40 Medals Jeete The Jisme 5 Gold, 13 Silver Aur 22 Bronze Medal Shaamil The. Jabki Diving Mein, India Ne 3 Gold, 2 Silver Aur 3 Bronze Medal Jeeta Tha.
Source: Business Standard
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi