100m Me Srihari Nataraj Nahi Jeet Sake Koi Bhi Medal, Ab Focus Hai 50m Back Par

“Ye Kaam Abhi Khatam Nhi Hua Hai,” Srihari Nataraj Ne Commonwealth Games Ke Swimming Event Mei Enter Krne Ke Kuch Hours ke Baad ‘The Bridge’ Se Kaha. Finals Mei Enter Krne Wale 4th Indian Bnn Chuke Hai Nataraj.

2018 Mei Huye Commonwealth Games Mei Srihari Semi-Finals Mei Pahoch Gye The But Progress Nhi Kar Paaye. Four Years Ke Baad Kuch Seconds Drop Kar Ke, Bengaluru Ke Srihari Ne Men’s 100m Backstroke Event Mei Apni Jagh Bana Li thi.

Koi Bhi Able-Bodied Indian Swimmer Ne Ab Tk Is Game Mei Medal Nhi Jeeta Hai- 21-Year-Old Srihari Nataraj Ko Ye Pta Tha Aur Unke Paas Chance Bhi Tha History Create Krne Ka- Unhe Bass Swim Krna Tha, Aur Unhone Swim Kiya Bhi Aur Apni Behatreen Performance Ki Wjh Se 100m Backstroke Event Mei 54.31s Ki Timing Clocked Krte Huye Medal Ke Bahot Kareeb Jaa Pahoche.

Is Timing Ke Sath Ne Nataraj Ne Apna Personal Best 0.54s Ke Sath Miss Krte Huye 7th Position Par Finish Kiye.

Halaki, Srihari Abhi Bhi Man On A Mission Hai, Aur Wo Full Force Ke Sath Comeback Krenge Men’s 50m Backstroke Event Mei, Jaha Unhe Abhi Bhi Compete Krna Hai.

Commonwealth Games Mei Able-Bodied Swimming Mei Abhi Bhi India Ko Medal Ki Jeet Ka Intezar Hai, Srihari Hopeful Hai Ki Wo Jldi Hi Fate Ko Change Karenge. Agar Aaj Nhi, Toh Kal Pakka.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »