Worli Sea Link Se Gateway Of India (36 Km) Tak Women Ne Kiya Swim

Mumbai Ka Traffic World Ke Worst Traffics Mei Se Ek Hai Aur Is Wajah Se Yaha Ka Public Transit Bhi Better Nhi Hai. Ultra-Marathon Swimmer Sucheta Deb Burman Ne Decide Kiya Ki Wo City Ke Traffic Ko Beat Karengi Bandra-Worli Sea Link Se Gateway Of India Tak Swim Kar Ke. 36km Tak Is Swimming Ka Unka Video Internet Par Viral Ho Chuka Hai.

Ms Burman Ne Apni Is 36km Tak Ki Swimming Ka Video Instagram Par Share Kiya Hai. Video Ke Sath Unhone Caption Likha Hai, “Mumbai Ka 36km Apne Style Mei Explore Karte Huye.”

Unki Is Post Par Nearly 4 Million Views Aur Bahot Saare Comments Aaye Hai Instagram Par. Kuch Logo Ne Unki Is Achievement Ko Praise Kiya Toh Wahi Par Kuch Logo Ne  Arabian Sea Ke Highly Polluted Water Mei Swim Karne Ke Dangers Par Bataya.

Unke Video Par Comment Karte Huye Ek User Ne Likha, “Is Tarah Ke Influencers Ki Jarurat Hai Hume, Jo Hume Sach Mei Influence Karein.”

“Mumbai Ke Traffic Ko Dekh Kar Lagta Hai Ki Hum Sabko Yahi Karna Padega,” Ek Aur User Ne Likha.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »