Water Mera “Happy Place” – Khushi Dinesh

“Paani Meri Khushaal Jagah Hai, Isliye Jab Mai Swimming Pool Mei Hoti Hun, To Mai Bahut Sahaj Hoti Hun,” Aisa Kahna Indian Swimmer Khushi Dinesh Ne Ka hai Khusi Dinesh Ka interview NIE Ne Publish kiya Jisme Khusi Dinesh Khel Ke Prati Apne Pyaar Ke Bare Mei Baat Kiya. Bengaluru Ki Ladki Ne Kam Age Mei Swimming Karna Shuru Kar Diya, Lagbhag 3 Saal Ki Age Mei Sahar Ke Basavanagudi Aquatic Centre Mei Shaamil Ho Gai.

Vo Swimming Par Itni Jyada Focused Thi Ki 8 Saal Ki Age Mei Tennis Jaise Anya Khelo Ko Chhod Dene Ka Faisla Kiya. 16 Varshiya Ab Us Faisle Se Khus Hai, Jo Pichle Kuch Varsho Se Yuva Khiladi Ki Prasansha Kar Raha Hai. Sub-Junior, Junior Aur Senior Levels Mei Unke Performances Ne Unhe Apne Saathiyo Ke Beech Kuch Had Tak Popularity Pane Mei Madad Ki Hai. Yah Dusre Level Tak Shoot Kar Sakti Hai Agar Khushi Budapest Mei Shuru Hone Wali Junior World Championship Mei Medal Jeet Kar Ghar Le Aaye.

India Ki Seven-Member Mei Se Ek Khushi 200m Freestyle (Personally Best 2.09 Minute), 400m (4.31), 800m (9.21) Aur 1500m (17.58) Mei Participate Karne Jaa Rahi Hai. Unhone Pichle Senior Nationals Mei Bhi Kaafi Impress Kiya, 200m Aur 400m Mei Silver Jeeti, Lekin Vah Kathin Competition Se Avgat Hai, Jo Budapest Mei Maujood Hoga. Duniyabhar Ke Young Swimmers Competition Mei Apni Chhaap Chhodne Ke Liye Utsuk Honge.

“Maine Apne Kuch Seniors Ko Haraya Hai Ve Mere Role Models Ki Tarah The Aur Unhe Harana Isliye Bhi Special Hai Kyu Ki Ye Mujhe Worlds Mei Jaane Ke Liye Confidence Deta Hai. Sabko Ye Yaad Rakhna Hoga Ki Puri Tarah Se Yah Ek Alag Competition Hone Jaa Raha Hai. Mujhe Mere Coach Se Important Tips Mil Rahe Hai Ki Mai Kaise Accha Kar Sakti Hun,” Khushi Ne CE Ko Bataya.

Mega Competition Mei Jaane Se Pahle Swimmer Ne Koi Kasar Nahi Chhodi. Unhone Pool Mei Regularly Kadi Mehnat Karne Ke Alawa Gym Mei Kuch Gudwatta Wale Ghante Bitaye. Apne Pacing Mei Sudhaar Karne Ke Liye, Khushi Ne Boys Ke Khilaaf Swimming Ki, Jisse Ateet Mei Unhe Apne Samay Mei Sudhaar Karne Mei Madad Mili.

“Mai Vastav Mei Kadi Mehnat Kar Rahi Hun, Na Keval Swimming Pool Mei, Balki Gym Mei Bhi, Apne Body Ko Championship Mei Apna Best Den Eke Liye Fit Rakhte Huye. Mai Junior Mei Apna Personal Best Dene Ka Target Rakh Rahi Hun, Jo Bahut Accha Hoga. Mai Aisa Karne Mei Saksham Hun,” Unhone Kaha.

Extra Incentive Unhe Tab Milega Jab Wo Competition Mei Medal Jeet Jayengi Kyunki Swimmers TOPS (Target Olympic Podium Scheme), Yuva Maamlo Aur Khel Mantralaya Ke Pramukh Karyakram Ke Liye Watchlist Par Hai. TOPS Mei Shaamil Hone Ka Matlab Hoga Ki Vah Best Coach Prapt Kar Sakti Hai. Adhik Pratiyogitaao Mei Suvidha Prapt Kar Sakti Hai Aur Vishes Sharirik Prashikshak, Maanshik Prashikshak, Aur Physiotherapist Aadi Prapt Kar Sakti Hai.

“Mai TOPS Scheme Mei Aane Ke Liye Utsuk Hun. Desh Ke Adhikaans Top Swimmers Ko Mere Saath Hi Watchlist Par Rakha Gaya Hai. Yah Janna Accha Hai Ki Koi Aapko Dekh Raha Hai Aur Financially Aapki Madad Karna Chhahta Hai. Yah Mujhe Prerit Karta Hai,” Khushi Ne Kaha.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »