Video Ki Help Se Swimmer Kaise Improve Kar Skte Hai ?

Bahut Se Swimmers Ki Ye Dikkat Hoti Hai Ki Vo Stroke Ki Shi Technique Nhi Samajh Pate Jahir Si Bat Hai Ki Swimmer Khud Ko Pani Me Swim Kerte Hue Nhi Dekh Sekte Aur Sath He Sath Ye Bhi Nhi Ho Pata Ki Koi Bahar Khada Aadmi Usko Swim Kerte Wqt He Bole Ki Stroke Me Kya Kami Hai Lekin Agar Swimmer Apni Swimming Ki Video Bnwakr Uska Achhe Tarike Se Dekhe Aur Apni Galtiyo Ko Sudhare Or Iske Sath He Sath Vo Start,Turn Aur Baki Technique Ko Bhi Improve Kre. Ye Sb Kerne Ke Bad Ap Ek Achhe Swimmer Bn Sekte Hai.

Video Ki Help Se Aap Apne Stroke Ke Sath Sath Un Sare Factors Ko Bhi Dekh Skte Hai Jo Sayad Swimming Karte Wakt Aapko Pta Nahi Chal Pati Hai. Meri Taraf Se Best Advice Yahi Hai Ki Weekly Aap Apni Swimming Ka Ek Video Jarur Bnwa Le Aur Fir Usko Apni Purani Video Or Kisi Elite Swimmer Ki Video Se Compare Karke Ye Check Kre Ki Apne Phle Se Kitna Improve Kiya Hai Or Abhi Kitna Improve Karna Baki Hai.

Injuries Se Bacho

Kandho Me Chot Lagna Ek Galat Technique Ki Or Ishara Kerta Hai Galat Stroke Technique Kyi Swimmer Ke Kandho Me Hui Chot Ka Reason Hai Doctor Ke Pass Jane Se Bachne Ke Liye Sbse Shi Terika Hai Ki Swimmer Apne Stroke Technique Pr Dhyan De Jb Ap Apne Stroke Ki Analysis Kerenge To Apko Ye Baat Pta Chalegi Ki Apke Body Ka Kaun Kaun Sa Hissa Apke Stroke Me Shaamil Hota Hai Stroke Technique Me Choti Si Bhi Gadbadi Swimmer Ko Doctor Tk Le Ja Sekti Hai.

Knowledge Is Power:-

Jitna Jyada Ap Kisi Chij Ke Bare Me Janoge Utna Jyada Apke Pass Us Chij Ka Control Hoga Bhle He Vo Swimming Ho Ya Apki Jindagi Technique Pr Focus Kerne Me Thora Time Lg Sekta Hai Lekin Agar Apko Technique Ki Shi Jankari Hai To Apko Bakiyo Se Km Time Lgega Isliye Technique Pr Kaam Kerne Se Pehle Uski Jankari Lena Bahut Jaroori Hai Ki Us Technique Me Body Ki Kaun Kaun Se Mussels Kaam Me Aaynge Technique Ke Sath Swimming Kerne Pe Pani Ka Kitna Drag Apke Body Ko Jhelna Padega

Jitna Ap Sochte Ho Sayad Ap Utne Achhe Swimmer Na Ho:-

Ye Thori Ajeeb Tagline Hai Na. Lekin Yeh Har Level Ke Swimmers Par Sach Bhi Sabit Hui Hai. Agar Aap Swimming Background Se Ho To Iska Matlab Ye Nhi Hota Ki Aap Swimming Me Pure Perfect Ho. Agar Apko Samajh Nhi Ki Ap Kya Galat Kr Rhe Ho Ya Kaise Apka Stroke Improve Hoga To Apko Bahut Time Lgega Ek Achha Swimmer Bnne Me. Apki Ek Achhi Swimming Video Apko Swimming Me Ki Gyi Ya Ho Rhi Galtiyo Ko Achhe Se Dikha Sekti Hai. Aur Jiski Help Se Aap Sayad Double Speed Se Improve Karne Lge. To Chaliye Apne Next Session Se Iss Tips Ko Try Karke Dekhiye.  

Join Us:-

 

 

Rules:-

  • Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
  • Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
  • Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »