Aquatic Sports Integrity Unit ne kaha ki 2021 Games mein 400m freestyle me Olympic champion Tunisian swimmer Ahmed Hafnaoui ko 3 baar anti-doping thikane ki information na dene ki wajah se 21-month suspension mila hai.
“Mr. Hafnaoui ne admit kiya hai ki unhone twelve-month period ke dauran 3 baar apne thikane ki jaankari dene me chook ki hai,”body ne apni website pe likha. “Unke results 11 April 2024 se disqualify kar diye gaye hain.”
Ban 10 January 2026 ko end hoga.
Hafnaoui ne last July and August me Paris Olympics se naam wapas le liya tha.
Unhone COVID ke karan delayed 2020 Tokyo Olympics me 400m freestyle me gold medal jeeta aur 2023 me Japan ke hi Fukuoka me 800m and 1500m me world titles jeete.
Unannounced drugs tests ki suvidha ke liye athletes ko ak software program me apne whereabouts (thikane) ki jaankari record karni hoti hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi